Skip to main content

Aayat and Hadith Meaning in Urdu with Images



Aap s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky roz bandy sy jis cheiz ka sab sy pahly hisab liya jaye ga wo farz nimaz ha pas agar us ny nimazien pori parhi hongi, to woh pori likhi jaien gi, lekin agar pori na parhi hongi, to Allah Tala apny farishton sy farmaye ga: Dekho! kiya (nama aamal mein) mery bandy ky koi nafal bhi hain? (agar hain) to us sy un ky farzo ki kami pori kar do, phir usi tarha us ki zakat ko dekha jae ga phir us ky bad usi tarha dosry farz aamal ka hisab hoga...!!!



Abu Zar r.a riwayat karty hai keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Tera kiya hal hoga? Jis waqat tujh par aisy imam hakim hon gy jo nimaz mein dair karein gy ya us ky waqat sy qaza karein gy...!!!"
Mainy kaha Aap mujhy is hal mein kiya hukam farmaty Aap s.w.a ny farmaya: "Nimaz ko us ky waqat par parh phir agar tu is nimaz ki jamat ko un ky sath paa ly to un ky saath dobara nimaz parh ly tahqeeq yeh nimaz tery liye nafal hogi...!!!"


Rasool Kareem s.a.w ny Eid-ul-Azha ky moqa par nimaz Eid ky baad qurbani karny ko apni sunnat qarar diya ha imam bukhari aur imam muslim ny Hazrat Baraa r.a sy riwayat naqal ki ha ky unho ny bayan kiya ha keh Rasool Allah s.a.w ny Irshad Farmaya:
"Be-shak us din ham pahla kaam yeh karty hain ky Nimaz-e-Eid ada karty hain phir aaty hian aur qurbani karty hain jis shakhs ny aisa kiya us ny hamari sunnat ko pa liya...!!!"




Sayyedna Ans Bin Malik sy marwi hai: "Woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya jo shakhs teen martaba jannat ka sawal kary to jannt kahti hai, ay Allah! isy jannat mien dakhil kar dy...!!!"




Abdullah Bin Masood r.a farmaty hain: Main ny Rasool Allah s.a.w sy sawal kiya keh Allah Tala ko konsa amal ziyada mahboob hai?
Aap s.a.w ny farmaya: "Waqat par nimaz parhna"
Mainy kaha phir konsa?
Aap s.a.w ny farmaya: "Maan Baap ky sath naik salook karna"
Mainy kaha phir konsa?
Ap s.a.w ny farmaya: "Allah ke rasty mein jihad karna...!!!"



Jabir r.a riwayat karty hain keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs azaan ka jawab dy aur phir azaan khatam hony par ye dua parhy usky liye qayamt ky din meri shafaat wajib ho jati hai...!!!"
"Is pori pukar (Azan) ky aur (Qiyamat Tak) qaim rahny wali nimaz ky Rab Muhammad s.a.w ko waseela aur bazurgi ata farma aun unhain us Maqam-e-Mahmood par pohancha jis ka tuny unsy wada kiya hai...!!!"



Sayyadna Abu Huraira r.a sy riwayat hai Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Ramzan ky baad sab sy fazeelat wala roza Allah ky maheeny muharram ka hai aur farz ky baad sab sy ziyada fazeelat wali nimaz raat ki nimaz hai...!!!"

 

Allah ka farman:
"Momin mardon sy kah dejiye ky apni nigahein neehci rakhein aur apni sharam gaho ki hifazat karein ye un keliye ziyada pakeza ha beshak Allah us sy pori tarha khabardar ha jo wo karty hain...!!!"



"Ay Iman walo Allah sy daro aur har shakhs ye dekhy ky us ny kal qayamt ky liye kiya aagy bheja ha aur Allah sy darty raho jo kuch bhi tum karty ho Allah us sy ba khabar ha...!!!"



"Abi bin kaab r.a sy riwayat hai keh Rasool Allah s.a.w witron sy salam phair kar teen baar ye parhty "Pak ha Badshah Nihayat pak...!!!"

 

Comments

Popular posts from this blog

Muharram Shayari Collection in Urdu

Detaa Ho Asere Mein Jo Paighaam-E-Rehai Tarekh Mein Aisa Koi Qaidi Bhi Kahan Ha, Bazar Mein Abid(A.s) Ko Guzarty Hue Dekho Zanjer Ki Jhankaar Bhi Akbar(A.s) Ki Azaan Ha...!!! -------------------------------------------------------- " Hussain " Tery Tazeem Ja-Baja Hogi,  Yazeed Tery Tazlil  Barmlaa Hogi...!!! -------------------------------------------------------- Janat Ki Aarzo Mein Kahan Ja Rahy Hain Log, Jannat To Karbala Mein Khareedi " HUSSAIN " Nain, Dunia-o-Aakhrat Mein Jo Reh Rhy Hon Chain Say, Jeena ALI Se Sikhoo Marna "HUSSAIN" Say...!!! -------------------------------------------------------- Lafzon Main Kiyaa Likhon " SHAHADAT-E-HUSSAIN "  Mohsin  Qalaam Bhi Mera Ro Dia...!!! --------------------------------------------------------

Best Urdu Love Shayari: Ek Baar Muskura Do To

فردوس جھوم اٹھی فضا گنگنانے لگی تم اگر مسرا اٹھو تو خدا مسکرا اٹھے اک بار مسکرا دو افسانہ چمن کا عنوان ہی بدل دو کلیوں کا دل مسل دو پھولوں کا سر کچل دو آکاش کی جوانی بادل میں چھپائے مہتاب ڈوب جائے تاروں کو نیند آئے زہرہ جبیں پری رو تمثیل ماہ و انجم آنکھیں شراب انگیں جذبات میں تلاطم کھلتے ہوئے لبوں پہ ہنستا ہوا ترانہ اے دلنواز پیکر خاطر میں ہے زمانہ لب ہائے احمریں پر نکھری ہوئی ہے لالی یہ ہلکی ہلکی سرخی تصویر ہے شفق کی آوارہ شوخ زلفیں رخسار چومتی ہیں بے خود میں جھومتی ہیں ہو زیست کا سہارا تم موج میں کنارا لیکن سنو خدارا اک بار مسکرا دو اک نوجواں مسافر فطرت کا لا ابالی اک عالم جنوں میں اک سمت چل رہا تھا جیسے کہ اپنی دھن میں پربت پہ چڑھ رہا تھا زلفیں کہ منتشر تھیں چہرے سے مضمحل تھا نظریں کہ راہ پہ تھیں کتنا شکستہ دل تھا ماضی کے دھندلکوں میں اک عکس پا رہا تھا گزرا ہوا زمانہ پھر یاد آرہا تھا ارماں تڑپ رہے تھے

Islamic Quotes, Hadees and Sayings SMS in Urdu with Pictures for Facebook Posts

Aey Allah main tery naam sy din ka aagaz kar raha hon mera aur tamam musalmano ka sara din acha guzray aamin...!!! Gunahon Ka Boojh Halka Kijiaey. Hazrat abdullah bin umer (R.A) farmaty han ky mainy rasool Allah (S.A.W) ko ye  irshad farmaty howey suna: "Jab koi shakhs nimaz keliye khara hota to usky gunah usky sar aur kandhon par  rakh diye jaty jab jab wo rakoo aur sajdy mein jata to wo gunah girty rahty hain....!!!"