Skip to main content

Posts

Showing posts from May 13, 2014

Allama Iqbal Shayari in Urdu Font Images Vol-02

Dunya ki mehfilon sy ukta gaya hon ya rab Kiya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho, Shorish sy bhagta hon dil dhondta ha mera  Aisa sakoot jis par taqdeer bhi fida ho...!!!

Sad Urdu Aarzoo Shayari Images for Facebook Poetry Status

Buhat din rah liye is jism mein ab yeh irada hai, Yeh ghar khali karein is shahar ko veeran kar jaein...!!! Woh subha nend sy jagy to mujh sy larny aaye, Keh tum kon hoty ho hamary khawabon me aany waly...!!! Kaash tu mera ho jaye, Kash yeh tamana teri hoti...!!!

Romantic Urdu Shayari Tumse Milkar Aisa Laga Jaise Bharson Purana Tumse Koi Naata Ho

Tumse milkar aisa laga jaise barson purana tumse koi naata ho Aisa laga ke sadiyon ke baad yeh dil phir ek baar dhadka ho, Na jaane kis janam ka rishta hai tumhara mujhse Aisa laga ke barson pehle tumhain kahin dekha ho, Jee gaye hum phir, the tanha akele is duniya me Aisa laga ke phir koi jeene ki wajah de gaya ho, Tumhain paane se laut aayi khushiyan saari meri zindagi me Aisa laga ke khud uperwaala tumhare libaas me zameen per aaya ho...!!!

Romantic Urdu Ghazal Shayari Main Nahi Hon Apny Wajood Me Mujhe Janay Kis Nay Chura Liya

Main Nahi Hon apny wajood me Mujhe janay kis nay chura liya, Mari sath Rehta Hai ek shakhs Koi jadoo us nay chala diya, Mari Rooh mem woh sama gaya Mujhe ishq karna sikha diya, Mari zindagi wo Ban gaya mujhe jeena us nay sikha diya, Main to khud se Bhi the na Aashna Mujhe mujh se us nay mila diya, Mari zindagi ko Badal diya Mujhe khush Naseeb Bana diya...!!!