Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Islamic Urdu Images

Islamic Urdu Shayari, SMS, Quotes With Islamic Wallpapers

Ya rab teri shan jale ejalal hai Meri maang rizq e halal hai Meri aajizi ko kar qabool Meri zindagi ka sawal hai...!!! Wahi rakhy ga mery ghar ko balaoun sy mahfooz Jo shajar sy ghonsla girny nahi deta...!!! Log tangdasti sy jitna darty hain Agar dono sy darein to dono sy bach jaien Maal sy jitni muhabbat karty hain Agar jannat sy karein to dono paa lein...!!! Dhondta raha sukon ko har jaga umer e rawaan ky saath Ya Rab kahein or na mila sukoon tery sajdy ky siwa...!!!   Jab main kahta hon ya Allah mera haal dekh Hukam hota hai ky apny naama amal dekh...!!! Kis qadar pur kaif ha teri zaat sy ishq ay Allah Na bewafai ka khadsha, na judai ka koi khof...!!! Mit jaye gunahon ka tasawur hi jahan sy IQBAL Agar ho jaye yaqeen ky khuda dekh raha hai...!!! Nahi main mohtaj duniya ka ik tery siwa ya rab Mery sajdy qabool kar ly meri saanein totny sy pahly...!!! Yo...

Jannat me Dakhil Hone ki 40 Ahadees-e-Mubaraka in Islamic Wallpapers Urdu

There are Forty (40) Hadees-e-Mubarka about  Paradise in Islam ( Jannah ) in Images for Social Media post share. Allah ka Dar aur Acha Ikhlaq: Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah  s.a.w sy aisy amal ky bary mein sawal kiya gaya jo sab sy ziyada logo ko jannat mein dakhil kary ga to Rasool Allah  s.a.w ny farmaya: "Allah ka dar aur acha ikhlaq...!!!" Khalos-e-dil sy Kalmy ki Shahat Dena: Sayadna Maaz r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool  Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny khalos-e-dil sy ye shahadat di ky Allah tala ky ilawa koi mabood barhaq nahi woh  jannt mein dakhil hoga...!!!"

Islamic Inspirational Hadees and Ayaat about Namaz in Urdu Translation

Masajid ki taraf jana : Hazrat Abu Huraira sy Riwayat ha keh Allah ky Rasool s.a.w ny farmaya: "Jis ny apny  ghar mein paaki hasil ki phir Allah ky gharon mein sy kisi ghar ki taraf Allah taal ky faraiz mein sy  kisi fareza ki adaigi ki khatir chala to us ka aik naqsh-e -kadam aik gunah ko mitata ha aur dosra aik  darja buland karta hai...!!!" Masajid ki taraf jana: Aur Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat ha woh bayan karty hain ky hamary makanat masjid sy door aik gosha mein they chunachy ham ny apny makanat farokhat kar ky masjid sy qareeb aabad hony ka irada kiya to Allah ky Rasool s.a.w ny ham ko us sy mana farmaya aur kaha: "keh tumhary har kadam ky badla darja hai...!!!"

Hadees-e-Mubarka ke Mutabik Subh ky Waqat Parhny wali Dua

Subh ky waqat parhny wali Dua: Aap s.a.w ny farmaya: "Jis ny subha ky waqt yeh kalimat parhy: Main ALLAH ki rabobiat deen-e-islam aur Muhammad s.a.w ki Nabowat-o-Risalat par raazi hon to main  (Muhammad  s.a.w )  yeh zamat deta hon ky main  (Muhammad  s.a.w )  khud us ko hath sy pakar kar jannt mein dakhil karonga...!!!"

Jannat Ki Hadood or Fasla Hadees-e-Mubarka KE Hawale Se Urdu Tarjuma

Aap s.a.w ny farmaya: " Jannat ky aik kinay sy lekar dosry kinary tak ka fasla chalees saal ki musafat ky barabar ha aur yaqeenan aik din aaye ga ky jannat logon ky hujoom sy bhari hogi...!!!"

Ilm-e-Deen or Taleem Ki Ehmiyat or Fazeelat Ki Hadees Urdu Tarjuma

Deen ka Ilm Hasil karny ki Fazeelat: Rasool ALLAH s.a.w  ne Farmaya: " Jo shakhs Ilm ki justajo mein kisi raah ka musafir howa ALLAH taala usky liye jannat ki raah aasan kar dety hain...!!!"

Islamic Hadees Jannat ky Ghoron ka Bayan in Urdu

Jannat ky Ghoron ka Bayan: Abu Ayyub R.A ka bayan ha ky Rasool ALLAH  S.A.W  ky paas aik dihati aaya aur kahny laga: "Ay ALLAH ky Rasool S.A.W mujhy ghora buhat pasand ha kiya jannat mein ghory hongy ?" Aap  S.A.W  ny farmaya: "Agar tujhy jannat mil gai to tujhy yaqoot ka aik ghora ata kiya jaye ga jis ky do par hongy tu us par sawar hoga phir woh tujhy lekar parwaz kary ga jahan tu chahy ga...!!!"

Afazal Tareen Duaa Ba-Hawala Hadees in Urdu

Afazal Tareen Duaa: Rasool Allah S.A.W ny farmaya: "ALLAH taala sy aafiat aur muafi ka sawal karo mot ky baad aafiat sy barh kar kisi keliye koi bhalai nahi ha aur farmaya banda ki apny Parwardigar sy bahtareen dua ye ha ay ALLAH main tujh sy dunya aur aakhrat mein muafi ka khaastgar hon...!!!

Hadees in Urdu Jannt Me Aik Bazar

Jannt Ka Bazar: " Jannt Me Aik Bazar hoga jannti har jummy ko wahan jaein gy phir baad-e-saba chaly gi jis sy un ky chahry aur kapry khak aalod ho jein gy lekin is sy un ka husan aur khobsurti dobala ho jaye gi is haal mein jab wo apni bewiyon ky paas wapis lotein gy to inki bewiyan un sy kahien gi ALLAH ki kasam hamary baad tum aur ziyada haseen aur khobsurat ho gaye ho woh jawab deingy ALLAH ki kasam tum bhi hamary baad aur ziyada haseen ho gai ho...!!!" Annas Bin Malik bayan karty hian keh: "Ahl-e-jannat aik dosry sy kahien gy chalo bazar-e-jannt ki taraf chalty hain phir woh kastori ky aik pahad ki taraf jaien gy wahan sy palat kar jab woh apni bewiyon ky paas pohanchien gy to un sy kahein gy tum sy aisi khusbo aa rahi ha jo us sy pahly kabhi nahi thi to woh jawab deingy tum sy bhi aisi khushbo aa rahi ha jo yahan sy nikalty howy nahi thi...!!!"

Hadees about Jannat ki Horon ki Gayiki ka Bayan in Urdu

Jannat ki Horon ki Gayiki ka Bayan: Hazrat Abu Huraira (R.A) sy moqof riwayat hai woh bayan karty hain key: "Jannat mein jannat jitni lambi nehar hogi un ky dono kinaro par khobsurat kunwari larkian aamny saamny qatar banaye khari hongi woh nihayat khush awaz mien gaaein gy jannat ky bashindy unhain sunein gy hatta ky woh samjhein gy ky un sy barh kar jannat mein lazzat ka koi aur saman nahi ha ham ny kaha ay abu huraira woh meed aur takdees aur Rab-e-azzwa jal ki Sana hogi...!!!"

Hadees in Urdu Momin Mardon aur Momin Orton Keliye Sab sy Bari Kamyabi

Sab Sy Bari Kamyabi: "Momin mardon aur momin orton keliye ALLAH ki taraf sy baghon ka wada ha jin ky neechy nahrein bah rahi hongi aur wo un mein hamesha rahein gy in sada bahar bagon mein unkeliye pakeza qayam gahein hongi aur sab sy barh kar naimat yeh keh ALLAH taala ki khushnodi unhain hasil hogi aur yahi sab sy bari kamyabi ha...!!!"

Islamic Dua, Hadees and Quotes in Urdu Pictures

Daja Shahadat Tak Rasai: Hazrat Aysha (R.A) ny Rasool Allha (S.A.W) sy daryaft kiya kiya koi shakhs bagair shahadat ky shaheedon ky sath ho sakta ha Hazoor (S.A.W) ny irshad farmaya jo shakhs din ya raat mein 20 dafa mot ko yaad kary wo shaheed mein ho sakta ha aik dosri hadees mein ha jo shakhs rozana 25 martaba yeh alfaz parhy woh shaheedon ky darjon mein ho sakta ha...!!! Aik fori kalma-e-magfirat: Hazrat Anas  (R.A) sy riwayat ha ky aanhazrat (S.A.W) ny farmaya jo shakhs  nimaz ky baad ye alfaaz kahy woh is haal mein khara hoga ky uski magfirat ho chuki hogi...!!!

Islamic Quotes, Hadees and Sayings SMS in Urdu with Pictures for Facebook Posts

Aey Allah main tery naam sy din ka aagaz kar raha hon mera aur tamam musalmano ka sara din acha guzray aamin...!!! Gunahon Ka Boojh Halka Kijiaey. Hazrat abdullah bin umer (R.A) farmaty han ky mainy rasool Allah (S.A.W) ko ye  irshad farmaty howey suna: "Jab koi shakhs nimaz keliye khara hota to usky gunah usky sar aur kandhon par  rakh diye jaty jab jab wo rakoo aur sajdy mein jata to wo gunah girty rahty hain....!!!"

Islamic Quote and Sayings in Urdu with Images for Facebook

Urdu Islamic Inspirational Quotes and Sayings with Images for Facebook Timeline Posts Status. ALLAH se rishta joro sab toty rishty jurr jainge...!!! Koi tum sy roth jaye phir  wahi tum sy milny ko tarsy to usey kabhi mat khona kiun ky wo tum sy buhat ziyada piyar karta ha...!!! Hazrat Ali...!!! Soorat bagair seerat ky aisa phool jis mein kanty ziyada hon aur khushbo bilkul na ho...!!!