Skip to main content

Posts

Showing posts from July 21, 2013

Best Hindi Urdu Ghazal Dunya Ki Talab Yun Bhi Khasarey Se Jurri Hai

Acha Hai Kisi Aur Nazaray Se Jurri Hai Dunya Ki Talab Yun Bhi Khasary Se Jurri Hai, Bahar Koi Aur Tamasha Hai Gali Mein Har Aankh Jo Khirrki Ke Isharay Se Jurri Hai, Mein Si Liyeh Dunya Pay Bharosa Nahi Karta Matti Ki Yeh Deewar Bhi Garay Se Jurri Hai, Yeh Kashtiyon Walay Tou Yun He Khof-Zada Hain Darya Ki Tou Har Mouj Kinaray Se Jurri Hai,

A Best Urdu Ghazal Woh Button Ne Dalay Hein WasWasay Ke Dilon Se Khof-e-KHUDA Gaya

Woh Butto’n Ne Dalay Hein Was'Wasay Ke Dil Se Khof-e-KHUDA Gaya Woh Parri Hein Roz Qayamatein Ke Khayal-e-Roz-e-Jaza Gaya, Jo Nafs Tha Khar-e-Gulo Bana, Jo Uthay Tou Hath Lahoo Huey Woh Nishat-e-Aah Sehar Gaee Woh Waqar-e-Dast-e-Dua Gaya, Na Woh Fasl-e-Bahaar Ka, Na Ravish Woh Abr-e-Bahaar Ki Jis Ada Se Yaar Thay Aashna, Woh Mijaz-e-Baad-e-Saba Gaya, Jo Talab Pe Ehd-e-Wafa Kia, Tou Woh Aabro-e-Wafa Gaiee Sar-e-Aam Jab Huey Mudda’ee Tou Sawab-e-Sidq-0-Safa Gaya,