Sajda-e-Sahw ka Bayan #1: Abu Huraira r.a sy Riwayat ha Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab tum mein koi nimaz parhta ha to shaitan us ki nimaz mein shuba dalta ha aur usko yaad nahi rahta ky kitni rikatein parhein jab tum mein sy kisi ko aisa ittifaq ho to bethy bethy do sajdy kary...!!!" Sajda-e-Sahw ka Bayan #2: Teen ya Char Rikat ky Shak mein Sajda: Abu Saeed Khudri r.a bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Agar tum mein kisi ko rikat ki tadad ky bary mein shak par jaye teen parhi hain yaa char? To shak ko chor dy aur yaqeen par aitamad kary. Phir salam phairny sy pahly do sajdy kary. Agar us ny panch rikat nimaz parhi to yeh sajdy uski nimaz (ki rikat) ko juft kar dein gy aur agar us ny pori char rikat nimaz parhi to yeh sajdy shaitan keliye zilaat ka sabab hongy...!!!"