Har koi poochta ha kiya karty ho tum, Goya MOHABBAT koi kaam hi nahi...!!! Talash kar mujhy apny Dil me Zaid, Dard ho smajh lena MOHABBAT tum bhi karty ho...!!!
Aankhon ka faraib ha ya aks-e-jamal hai, Aati kiun ha nazar teri soorat jaga jaga...!!! Pahly usko socha tha ya pahly usko chaha tha, Aisi baatein kiya sochein jab sab iqrar zubani hon...!!!
Main lafz soch soch kar thak si gai, Woh phol dy ky bat ka izhar kar gaya...!!! Mera chup rahna kahein nafrat na samajh lena, Ham akely pan mein khud ko tum sa mahsoos karty hain...!!! Koi rothy agar tum sy to usey foran mana lena, Ky anaa ki jang mein aksar judai jeet jati hai...!!!