Hazrat Abdullah Bin Umer r.a sy marvi ha keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah Taala raham karny walon par raham karta hai tum zameen walon par raham karo aasman wala tum par raham kary ga raham rahman sy mashtak ha jo shakhs rishta jory ga Allah taala usey ( apni rahmat ky sath ) jory ga aur jo rishta tory ga Allah tala usey (apni rahmat sy) torr dy ga...!!!" Mahboob sy Mahroomi par Sabar Karny waly Insan ki Fazelat: Hadees-e-qudsi hai Allah tala farmaty hain: "Mera woh momin banda ky jab main ahal-e-dunya mein sy uska koi mahboob tareen saathi apny pas bula lon, phir who usy Allah ka hukam samajh kar hansi khushi qabool kar ly to mery pas uska badla jannat ky siwa kuch nahi hai...!!!