Apni marzi sy do char qadam chalny dy, ZINDAGI ham tery kahny py chaly hain barson...!!! Baat sirf itni ha ZINDAGI ki rahon mein, Saath chalny waly ko hamsafar nahi kahty...!!!
Najany kiun itna yaqeen ha teri WAFA par ay Dast, Warna husan waly to khud sy bhi WAFA nahi karty...!!! Sada jo dy tujh ko kabhi WAFA keliye, Khafa na karna us ko kabhi khuda keliye...!!!
HISAAB. Kuch to hisaab karo ham sy, Itni WAFAEIN udhar kon deta hai...!!! Buhat sa maan ha tum par Suno! tum paas-e-WAFA rakhna, Sabhi sy tum milo lekin Zara sa fasla rakhna, Bichar jana bhi padta hai Zara sa hosla rakhna, Who kurb ky lamhy Tum aankhon mein saja rakhna, Abhi imkan baqi hai Lab py tum duaa rakhna, Buhat nayab hain dekho Hamein sab sy juda rakhna...!!!
Bhool gaye ho to bata do mujh ko, Mujh mein marny ki himmat aa gai ha...!!! Baqaidgi sy itny achy nahi sitam, Kuch roz naamchy mein tarmeem kijiye...!!!
Tum kiya jano MOHABBAT ky meem ka matlab, Agar mil jaye to mojza aur na mily to mot...!!! Kitni mahdood si ha dunya meri, Ek main ik MOHABBAT meri...!!!
GHALIB bura na maan jo waa iz bura kahy Aisa bhi koi ha ky sab acha kahein jisy...!!! GHALIB na kar huzoor mein tu baar baar arz Zahir ha tera haal sab un py kahy bagair...!!!
Muhabbat ky is pahly sunahry safar me Meri yeh DUA ha keh Tumhain khushyon ky hazaron jazeery milein Aur mujhy tumhari muhabbat...!!! Woh jo meri har DUA mein shamil tha Bin maangy kisi ko mil gaya...!!!
Bas itna yaad hi. DUA to jany konsi thi Sehan mein nahi Bas itna yaad hai Keh wo hatheliya mili howi thi Jin mein aik meri thi Ziad aur aik tumhari...!!! Bolny waalo meri rooh ky darwazy par Apni bhatakti howi chup chap sadaein maango, Kho gaya hon main zeest ky andheron mein Umer bhar ab mery milny ki DUAEIN maango...!!!
Aur kiya dekhny ko baqi hai, Aap sy DIL laga ky sab dekh liya...!!! Kahny do in logo ko ye log to bary anjany hain, Is DIL ka haal to is DIL me basny waly bhi na jany hain...!!!
Suno meri aankhein khareedo gy, Mujhy aik khuwab ka tawaan bharna ha...!!! Teri muskurati ye tabinda aankhein Hain gahwara dosheza subh-e-no ka Keh aakash ky do sitaron ka sangam Bhatakty howy jaisy do neely shabnam Mujhy udny dy in ki neeli fiza mein Yahan tak ky tay kar ky ye saari dunya Main ho jaoun gum in ki gahraiyon me Ro pahli si sunahri parchaiyon me Teri muskurati ye tabinda aankhein....!!!
Ham usey buhat YAAD aaein gy, Jab usey bhi koi thukraye ga...!!! Hun muhabbat sy majboor warna, Tujhy YAAD karna sawab thodi ha...!!! Is bars ka naam bhi ham ny, Teri YAADON ka saal rakha hai...!!!
Ham abhi haroof-e-tahajji bhi nahi parh sakty, Aur tumhari aankhein hain riazi ky sawalon jaisi...!!! Ham itny bhi nahi badly ky bhool jaein apnon ko, Jab koi muntazir hi na ho to raabta acha nahi lagta...!!!
Zuban to kah nahi sakti tumhain ahsaas to hoga, Meri aankhon ko parh lena mujhy tumsy MUHABBAT hai...!!! Ehsas agar ha to MUHABBAT karo mahsoos, Har baat ka izhar zarori nahi lab sy...!!! Bebas kar deta qanoon-e-MUHABBAT warna, Main tumhain itna chahon ky intiha kardon...!!!
Aik bar aur dekh kar aazad kardy mujhy MOHSIN, Keh main aaj bhi teri pahli nazar ki qaid mein hun...!!! Wafa ki basti ky log MOHSIN ujrry ujrry ye kah rahy hain, Keh jahan muhabbaton mein khot dekho wafa py tum bhi khary na rahna...!!!
KHUWAB bhi shayad kaanch sy kamzor hoty hain Wasi, Har roz bikhar jaty hain faqat ik aankh ky khulny sy...!!! KHUWAB-e-adam sy jaagy they ham tery waasty, Akhir ko jaag jaag kar naachar so gaye...!!!
ISHQ hara ha to sar tham ky kiun bethy ho, Tum to har baat py kahty they ky koi baat nahi...!!! Lihaz-e-ISHQ na hota to tujh sy ranjishen hotein, Shikayat sirf itni ha ky tu samjha nahi mujhko...!!! Ly kar zanjeer hathon mein kuch log tumhari taak mein hain, Ay ISHQ hamari galyon mein na aur phiro to acha ha...!!!
Dil kahta ha tery qadmon py jaan qurban kardon, Ky tu is bewafai ky dor mein mery sath chal raha ha...!!! Ijazat ho to kuch araz karon? Khel chuky ho to DIL wapis kar do...!!! Jab kabhi tera nam lety hain, Dil sy ham intiqam lety hain...!!!
Chorr jana itna hi zarori tha to kam az ka, Apni yadon ko bhi bewafai sikha kar jaty...!!! Mumkin ha teri yadon sy peecha mera choot jaye, Shart itni ha ky dil sy dharkanon ka taluq toot jaye...!!!
Tum mein wafa nahi ye baat janty hain ham, Magar tumhain koi bewafa kahy to bura lagta ha...!!! Tum ny dekhi hi nahi hamari pholon jaisi wafa, Ham jis par khilty hain usi par murjha jaty hain ...!!! Wafadar aur tum, khayal acha ha , Bewafa aur ham ilzam bhi acha ha...!!!