There are Forty (40) Hadees-e-Mubarka about Paradise in Islam ( Jannah ) in Images for Social Media post share. Allah ka Dar aur Acha Ikhlaq: Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w sy aisy amal ky bary mein sawal kiya gaya jo sab sy ziyada logo ko jannat mein dakhil kary ga to Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah ka dar aur acha ikhlaq...!!!" Khalos-e-dil sy Kalmy ki Shahat Dena: Sayadna Maaz r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny khalos-e-dil sy ye shahadat di ky Allah tala ky ilawa koi mabood barhaq nahi woh jannt mein dakhil hoga...!!!"