Ya rab teri shan jale ejalal hai Meri maang rizq e halal hai Meri aajizi ko kar qabool Meri zindagi ka sawal hai...!!! Wahi rakhy ga mery ghar ko balaoun sy mahfooz Jo shajar sy ghonsla girny nahi deta...!!! Log tangdasti sy jitna darty hain Agar dono sy darein to dono sy bach jaien Maal sy jitni muhabbat karty hain Agar jannat sy karein to dono paa lein...!!! Dhondta raha sukon ko har jaga umer e rawaan ky saath Ya Rab kahein or na mila sukoon tery sajdy ky siwa...!!! Jab main kahta hon ya Allah mera haal dekh Hukam hota hai ky apny naama amal dekh...!!! Kis qadar pur kaif ha teri zaat sy ishq ay Allah Na bewafai ka khadsha, na judai ka koi khof...!!! Mit jaye gunahon ka tasawur hi jahan sy IQBAL Agar ho jaye yaqeen ky khuda dekh raha hai...!!! Nahi main mohtaj duniya ka ik tery siwa ya rab Mery sajdy qabool kar ly meri saanein totny sy pahly...!!! Yo...