Main Nahi Hon apny wajood me Mujhe janay kis nay chura liya, Mari sath Rehta Hai ek shakhs Koi jadoo us nay chala diya, Mari Rooh mem woh sama gaya Mujhe ishq karna sikha diya, Mari zindagi wo Ban gaya mujhe jeena us nay sikha diya, Main to khud se Bhi the na Aashna Mujhe mujh se us nay mila diya, Mari zindagi ko Badal diya Mujhe khush Naseeb Bana diya...!!!