Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Hadees about Namaz

Islamic Inspirational Hadees and Ayaat about Namaz in Urdu Translation

Masajid ki taraf jana : Hazrat Abu Huraira sy Riwayat ha keh Allah ky Rasool s.a.w ny farmaya: "Jis ny apny  ghar mein paaki hasil ki phir Allah ky gharon mein sy kisi ghar ki taraf Allah taal ky faraiz mein sy  kisi fareza ki adaigi ki khatir chala to us ka aik naqsh-e -kadam aik gunah ko mitata ha aur dosra aik  darja buland karta hai...!!!" Masajid ki taraf jana: Aur Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat ha woh bayan karty hain ky hamary makanat masjid sy door aik gosha mein they chunachy ham ny apny makanat farokhat kar ky masjid sy qareeb aabad hony ka irada kiya to Allah ky Rasool s.a.w ny ham ko us sy mana farmaya aur kaha: "keh tumhary har kadam ky badla darja hai...!!!"