Skip to main content

Posts

Showing posts from November 23, 2014

Zindagi Best Collection Shayari and SMS 2 Line, 4 Line With Images

Moat milti hai na zindagi milti hai Zindagi ki raahon mein bebasi milti hai Rula dety hain mujhy kiun mery apny Jab bhi mujhy koi khushi milti hai...!!! Asal takleef to zindagi hi deti hai Moat ko to log yonhi badnam karty hain...!!! Zindagi kaanton ka aik safar hai Himaat hosla is ki pahchan hai Raasty par to sabhi chalty hain Jo raasty banaye wahi to insaan hai...!!! Bahtar dino ki aas lagaty howey habib Ham bahtareen din bhi ganwaty chaly gaye...!!! Inti bad saloki na kar mujh sy ay zindagi Ham kon sa yahan baar baar aany waly hain...!!! Buhat kuch sikha jati hai zindagi Hansa ky rula jati hai zindagi Ji sako jitna utna je lo dosto Kiun ky buhat kuch baqi rah jata hai Aur khatam ho jati hai zindagi...!!! Zinda rahna hai to haalat sy darna kesa Jang lizim ho to lashkar nahi dekhy jaty...!!!

Yaad Shayari And SMS For PC Desktop With Sad Images

Yaadon mein ik teri yaad thi Kiya yaad tha ye kuch yad nahi Teri yad mein sab kuch bhol gaye Kiya bhol gaye kuch yaad nahi Yad ho tum, bas yaad ho tum Kiun yad ho tum kuch yaad nahi...!!! Wabasta meri yadon sy kuch talkhiyan bhi thein Acha kiya tuny jo mjuh ko faramosh kar diya...!!! Ik tum ho jisy piyar bhi yaad nahi Ik main hon jisy or kuch yaad nahi Zindagi mot ky do hi to tarany hain Ik tumhain yad nahi ik mujhy yad nahi...!!! Sirf yaad ban kar na rah jaye piyar mera Kabhi kabhi kuch waqt ky liye aaya karo Meri dolat hy jo sanbhal ky dil mein rakhta hon Mery nahi ho sakty to kuch yadein hi dy jaya karo...!!! Dil dharakny ka sabab yaad aaya Wo teri yaad thi ab yaad aaya...!!! Jab raat ki tanhayi raat ban ky dharakti hai Yaadon ky jharakon mein chilman si sirakti hain Inn laboon mein chingari jaisy koi rakh jaye Yon yaad teri shab bhar seeny mein sulagti hai...!!! J...

Latest Umeed Shayari SMS Best Collection With Images Vol 1

Qareeb itna raho ky rishton mein piyar rahy Door bhi itna raho ky aany ka intzar rahy Rakho umeed rishton ky darmiyan inti  Ky toot jaye umeed par rishty barqarar rahy...!!! Padpadata hai jo din raat mery seeny mein Ab yahi aik parinda hai rihaa karny ko...!!! Mery chahry par kafan na dalo Mujhy aadat hai muskurany ki Meri laash ko abhi na dafnao Mujhy umeed hai kisi ky aany ki...!!! Zindagi itni takleef deti hai Dil mein phir bhi umeed rahti hai Dil kahta hai ky kuch nahi hoga Par kuch to hoga ye umeed kahti hai...!!! Na karna kisi sy piyar ki umeed Khahish mein sab kuch ganwa dogy Har koi kary ga wada k wo sath dega Inty mileingy dhoky ky khud ko mita dogy...!!! Khawab lafzo mein dhal nhi sakty Kaash aankhein parhaa kary koyi...!!! Unki aankhon mein bhi halki si nami rahti hai Baat karty hain jo auron ko hansany ky liye...!!!