Rasool Akram (S.A) ny farmaya:- Keh jab Ramzan ka maheena aata hai to Jannat k darwazy khol diye jaty hain, aor shetaan zanjeeron main jakarr diye jaty hain. Rasool Akram (S.A) ny farmaya:- Jo shakhs sidq e dil aor aitmaad e sahii k sath Ramzan main qiyam kry, yani tarawiyaah parhy to us k pichly gunah bakhsh diye jayen gy. Rasool Akram S.A ny farmaya:- Jis shakhs ny Imaan aor ahtsaab k saath Ramzaan ka roza rakha to us k pichly gunaah muaaf kr diye jaty hain. Rasool Akram S.A ny farmaya:- Sehri khaya kro, kiyon keh sehri k khany main barkat hoti hai. Rasool Akram (S.A) ny farmaya:- Keh humary rozy aor ahal e kitab k rozy ky darmiyan sehri khany main farq hai. Rasool Akram (S.A) ny farmaya:- Ramzan k aakhri ashry main Shab e qadar talash kro, Phir agr tum main sy koi kamzori dikhaye ya aajiz ho jaye to aakhri (7) raaton main susti na dikhaye. Hadees e Nabvi:-...