Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Hadees about Sajda

Sajda-e-Sahw ka Bayan in Islamic Wallpapers | How to do Sajda-e-Sahw

Sajda-e-Sahw  ka Bayan #1: Abu Huraira r.a sy Riwayat ha Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab tum mein koi  nimaz parhta ha to shaitan us ki nimaz mein shuba dalta ha aur usko yaad nahi rahta ky kitni rikatein parhein jab tum  mein sy kisi ko aisa ittifaq ho to bethy bethy do sajdy kary...!!!" Sajda-e-Sahw  ka Bayan #2: Teen ya Char Rikat ky Shak mein Sajda: Abu Saeed Khudri r.a bayan karty hain  ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Agar tum mein kisi ko rikat ki tadad ky bary mein shak par jaye teen parhi hain yaa  char? To shak ko chor dy aur yaqeen par aitamad kary. Phir salam phairny sy pahly do sajdy kary. Agar us ny panch rikat  nimaz parhi to yeh sajdy uski nimaz (ki rikat) ko juft kar dein gy aur agar us ny pori char rikat nimaz parhi to yeh  sajdy shaitan keliye zilaat ka sabab hongy...!!!"