Mehakti Rehti Hai Sadaa Yeh Yaadoon Ke Chaman Me, Main Usay Keisy Btaoon MUHABBAT Kabhi Puraani Nhi Hoti...!!! Sazaa Ban Jaati Hai Guzre Huey Waqat Ki Yaadain , Najany Kiuon Matlab Ke Liey Meherban Hotey Hain Log...!!!
Bas Ek Hasrat Hai Is Dil Me, Hamain Bhi Koe Chahy Chahny Walon Ki Tarah ...!!! Zindagi Tujh Pay Bohat Ghoor Kia Meny, Tu Rangeen Khilonon Ke Siwaa Kuch Bhi Nahi Hai...!!!
Bari Gustakh Hain Teri Yaadain Inhain Tameez Sikha Do, Dastak Bhi Nahi Deti Aur Dil Me Utarr Aati Hain...!!! Chaly Jain Gi Anqareeb Tujhy Chord Kar, Qadar Kya Hoti Hai Tujhy Waqat Bata De Ga...!!!
Wabasta Meri Yaad Se Kuch Talkhiyan Bhi Thein, Acha Kiya Jo Mujh Ko Faramoosh Kar Diya...!!! Hum To Aghaz-E- Muhabbat Me Hi Lutt Gaye, Loog Kehty Hain Ke Anjaam Bura Hota Hai....!!!
Na Toaul Apne Rishte Ko Bedaam Tarazu Me, Tu Kitna Anmool Hai Kabhi Pouch Meri Nighahon Se...!!! Kahan Se Layin Har Roz Ik Naya Dil Torny Walon Ne To Tamasha Bana Rakha Hai...!!!
Jaan Kar Anjan Banna Acha Lagta Hai Mujey Unko Apne Liay Pareshan Karna Acha lagta hai, Muje Woh Karte Rahe Piyar Ka Iqrar Bar Bar Nadan Ban Kar Har Bar Sunna Acha Lagta Hai ...!!! Uski Batain Bar Bar Yaad Karke Roye Uske Liye RABB Se Faryaad Karke Roye, Uski Khushi Ke Liye Choord Diaa Usey Phir Uski Hi Kami Ka Ehasas Karke Roye...!!!
Kis Shook, Kis Tamanna , Kis Darjaa Aajizi Se, Hum Aap Ki Aarzoo Kaery Hain Aap Hi Se...!!! ،کس شوق، کس تمنا ، کس درجہ عاجزی سے !!!...ہم آپ کی آرزو کرتے ہیں آپ ہی سے किस शोक़, किस तमन्ना , किस दर्जा आजिज़ी से, हम आप की आरजू करते हैं आप ही से...!!! Chaand Ko Chuoo Ke Dekhna Chaahon, Mere Nazdeek Aasmaan Kar De...!!!
Kehty Hain Hathoon Ki Lakerain Adhori Hon To Qismat Me Muhabbat Nahi Hoti Lekin Such..!! To Yeh Hai Haathon Me Ho Ek Piyara Sa Haath To Lakeron Ki Bhi Zaroorat Nahi...!!!
Jugnu Ko Qaid Kar Ke Muskaraya Na Karo Roshni Ki Khatir Kisi Ka Dil Jalaya Na Karo, Sitam Karna Hai Karo Par Itna Na Karo! Yaad Nahi Karsakte To Yaad Aaya Na Karo...!!!
Usne Raat Ke Andhery Me Mery Haath Ki Hatheli Pe, Likha Tha Apni Ungli Se Mujhe Piyar Hay Tum Se, Jaane Kesi Siyaahi Thi Woh Ke Mitti Bhi Nahi Or Dikhti Bhi Nahi...!!!