Buhat dair sy koi hichki nahi aai, Bholny waly ki KHUDA khair kary...!!! Buhat takleef deti hain teri YAADEIN wo sab baatein, Faqat itna hi kahna tha ky tum lot aao to acha hai...!!!
Ham usey buhat YAAD aaein gy, Jab usey bhi koi thukraye ga...!!! Hun muhabbat sy majboor warna, Tujhy YAAD karna sawab thodi ha...!!! Is bars ka naam bhi ham ny, Teri YAADON ka saal rakha hai...!!!
Chorr jana itna hi zarori tha to kam az ka, Apni yadon ko bhi bewafai sikha kar jaty...!!! Mumkin ha teri yadon sy peecha mera choot jaye, Shart itni ha ky dil sy dharkanon ka taluq toot jaye...!!!
Ho Nahi Sakta Mujhe Teri Yaad Na Aaye Bhul Ke Bhi Tujhe Bhulon Woh Ehsaas Na Aaye, Tu Bhule To Tujhe Koi Aanch Na Aaye Mai Bhulon To Mujhe Agli Saans Na Aaye...!!!
Tumse doori ka ehsaas jab satane laga Tere saath guzra har lamha yaad aane laga, Jab bhi tumhain bhulne ki koshish ki Aey dost tu dil ke aur paas aane laga ...!!!
Sab Kuch Mila Magar Kabhi Sukon Ki Daulat Na Mili Ek Tujko Hi Bhool Jaane Ki Mohlat Na Mili, Karne Ko Bohat Se Kaam The Apne Liye Magar Humko Tere Khayalon Se Hi Kabhi Fursat Na Mili...!!!
Mat Pochho Yeh Mujse Ke Kab Yaad Aate Ho Jab Jab Saansain Chalti Hain Bohat Yad Aate Ho, Neend Me Palkain Hoti Hain Jab Bhi Bhari Banke Khwaab Baar Baar Nazar Aate Ho, Mehfil Me Shaamil Hote Hain Hum Jab Bhi Bheerd Ki Tanhaiyon Me Har Bar Yad Aate Ho, Jab Bhi Socha Ke Faasla Rakhon Main Tumse Zindagi Ban Ke Saason Me Samaa Jaate Ho...!!!
Lamhay To Ruoksat Ho Jatey Hain Par Koch Yadon Ky Daayre Ban Jaate Hain, Bhool Jana To Insan Ki Fitrat Hai Par Kuch Ache Log Yadon Me Bas Jate Hai...!!!
Woh jo milta hay tu sub kuch he bula deta hay Janay kis baat per dil us ko dua deta hay, Woh mujhay pyar se rotay main hasanay wala Yaad ata hay tu hanstey main rula deta hay...!!!