Skip to main content

Posts

Showing posts from March 25, 2013

Tera Dard Tha Teri Yad Thi

Tera Dard Tha Teri Yad Thi Mian jahan rahi mian jahan gayi  Mera din toh yunhi guzar gaya  Junhi shab hui mian bikhar gaya  Is aber ka meray yaar say  Bara milta julta mizag tha  Khabhie toot k baras parra  Kabhie rukha sa guzar gaya...

Urrti Phirti Hain Titaliyon Ki Tarha

Urrti phirti hain titaliyon ki tarah Lafz kaaGaz pe baithte hai nahin Kab se baithi hon main jaanam Saade kaaGaz pe likh ke naam teraa Bas teraa naam hii mukammal hai Is se bahatar bhi nazm kya hogi...

Nazm Ulajhi Hui Hai Sine Mein

Nazm Ulajhi Hui Hai Sine Mein, Misare Atke Hue Hain Hothon Par..

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya

Saza pe chor diya jaza pe chor diya Har ik kaam ko ham ne khuda pe chor diya, Woh ham ko yaad rakhta ya phir bhola data  Usi ka kaam tha osi ki raza pe chor diya, Ab os ki marzi bojha de ya jala rahne de Charaagh ko jala k ham ne hawa pe chor diya, Ham us se baat bhi karte to kis tarah karte Yah maamla ana ka tha ana pe chor diya, Isi liy to wo kahte hain bewfa ham ko Hum ne sara zamana wafa pe chor diya..

Tum Meray To Na thay Lekin Main Deewani

Tum meray to na thay lakin main dewani haqiqat ko na jani kaisi khata kar bethi jo dil mein tujhay basa bethi jo tum ko apna jan liya lakin...  tum khushboo thay aur main hawa khushboo aur hawa ka sangamm akhir mein bas itna thehra.. khushboo hawa kay sath rahay chand lamhay sath day lakin phir... apni khushi say apni manzil ki taraf murrh jaey hawa say nata torr jaey aur akaila chorr jaey..

Mere Aangan Mein Kabhi Phool Khila Kerte The

Mere aangan mein kabhi phool khila kerte the Meri ankhon me bhi khawab basa kerte the, Muje halat ki aandhi ne giraya warna Mere saaye mein bhi kuch loog raha kerte the, Hein yaad hmein rafaqat ki wo ghehrayin ab bhi Dil ki dharkan bhi tere sath suna kerte the, Aaj woh mehfil mein anjaan baithy hein Jo kabi muje apni jaan kaha kerte the, Ab trasti hein teri deed ko ankhin Ek zamana tha hum roz mila kertay the..

Yehi Zindgi Ka Usool Hai Jo Bichar Gaya Use Bhool Ja

Yehi zindgi ka usool hai Jo bichar gaya use bhool ja Jo mila he dil se laga k rakh  Jo nahi mila use bhool ja Na wo dhoop tha na wo chandni  Na charaagh tha na wo roshni Woh khayal tha koi khwaab tha  Woh tha aa'ina use bhool ja Woh jo tere dil k qareeb tha  Woh na jane kis ka naseeb tha  Tujhe hans k us ne bhula diya  To bhi muskura use bhool ja..

Woh Dil Mein Basa Kuch Is Tarha

Woh Dil Mein Basa Kuch Istarha, Mein Sari Dunya Bhulati Rahi, Har Sans Mein Uski Khushbo Ati Rahi, Mein Pal Pal Dil Ko Behlati Rahi, Kabhi Hans Kar Kabhi Ro Kar, Mein Mohabbat Ki Galiyon Ko Sajati Rahi, Har Raat Chand Ko Takti Rahi, Har Ghari Uska Intezar Karti Rahi, Har Khushi Mile Usay Zindagi Mein, Har Pal Ye Dua Karti Rahi, Na Miley Koi Gham Usay, Khud Aanhein Bhar Kar Roti Rahi, Har Din Mein Usko Chahti Rahi, Har Pal Uski Yaad Ati Rahi, Har Raat Ko Wo Yaad Ata Raha, Har Raat Meri Yun Sulagti Rahi, Kuch Khoyi Uski Baaton Mein Istarha, Bus Usi Ki Awaz Ko Sunti Rahi, Usay Har Pal Yaad Rakhnay K Liye, Bus Usi K Gun Gaati Rahi, Gumm Huii Us CHAND Mein Yun, Har Simt Usi Ki Surat Dekhti Rahi, Bus Kati Meri Zindagi Istarha Mein Usi Ki Khatir Jeeti Rahi, Woh DIL Mein Basa Kuch Istarha, Mein Sari Dunya Bhulate Rahi....

Jo Hadsay Yeh Jahan Mere Naam Karta Hai

Jo hadsay yeh jahan mere naam karta hai Mera shaour inhain nazr-e-jam karta hai Hamaray chak-e-geereban se khelnay walo Humain bahar ka suraj salam karta hai Humeen se mili hai qos-e-qaza ko rangeeni Hamaray dar pe zamana qayam karta hai Yeh mai-kada hai yahn ki her ek shay ka hazoor Gham-E-Hayat bohat ehtram karta hai Faqeeha shehar ne tohmat lagai saghar per Yeh shaks dard ki dolat ko aam karta hai...

Ye Kis Ka Ghar Jala Hai Zara Fikr Si To Hai

Ye kiss kaa ghar jalaa hai zaraa fikr see to hai Basti main thori der magar raushnee to hai Dariyaa main kaun doob gayaa ye na sochhiye Saahill pay aaj thori see raunak lagi to hai Dil main kisee kay kyaa hai koyee janataa naheen do chaar hamkhayaalon kee mahfill jamee to hai Khush ho rahaa hai meer-e-sipaah jung haar kar izzat chalee gayee hai to kyaa zindagee to hai Main is liye bhee kah naa sakaa bewafaa usay meree na ho sakee, vo mujhay sochtee to hai Akaash bel pee gayee pedon kaa ras tamaam Banjar ruton kee zad main koyee shay haree to hai...

Farz Mera Tha Aur Main Nibhaati Rahi

Farz Mera Tha Aur Main Nibhaati Rahi Zakham Khaati Gayai Muskurati Rahi Beech Dariya Main Us Ne Nazar Pher Li Main Kinaaron Se Nazrein Milati Rahi Raat Amavas ke Ghangor Sannate Main Mere Kamre Main Chandni Aati Jati Rahi Dost Sab Aandhiyon Ke Mureed Ho Gaye Main Chiraagon Ko Apne Jalati Rahi Mere Bistar Pe Phoolon Ki Chaadar Rahi Raat Bhar Neend Ko Aazmaati Rahi Aye dost Itne Ghum Haadson Ne Diye Umr Bhar Unko Apna Banati Rahi...

Na Koi Khaab Na Koi Saheli Thi

Na koi khuwaab na koi saheli thi...  Is muhabbat mein, mein akeli thi...  Ishq mein tum khaan ke sache the...  Jo azziyat thi hum ne jheli thi...  Yaad ab kuchh nahin raha lekin...  Aik darya tha ya haweli thi...  Jis ne uljha ke rakh diya dil ko...  Woh muhabbat thi ya paheli thi...  Mein zara si bhi kam wafa kerti...  Tum ne to meri jaan leli thi...  Waqat ke saanp kha gaye us ko...  Mere aangan mein aik chanbeli thi...  Is shab-e-gham mein kis ko batlaoon...

Ek Larki Rozana Gali Say Guzra Karti Thi

Ek Larki Rozana Gali Say Guzra Karti Thi, Uskay Chehray Par Niqaab Hua Karta Tha, Aik Larka Us Pay Marta Tha, Shayed Woh Us Say Payar Karta Tha, Ek Din Us Larki Nay Us Larkay Kay Parosi Say Pocha, To Usnay Bataya Aap Ko Aanay Mein Bohat Dair ho Gai, Us Dewanay Ki Teen Din Pehlay Hi Mout Ho Gai, Parosi Nay Apna farz Nibhaya, Larki Ko Qabar Tak Lay Aya, Larki Qabar Par ronay Lagi, Apnay AshqoN Say Qabar ko Bighonay lagi, Tab Qabar Say Awaaz Aai, Aye Khuda Yeh Kesa Inqlaab Aya Hay, Aaj Main Parday Mein Hon, Aur Mera MEHBOOB bay Niqaab Aya Hay.

Woh Phool Si Muskurahat Merey Liye Hoti

Woh phool si muskurahat merey liye hoti Woh masoom shararat merey liye hoti  Main us zulf ki chaaon main soo jaata Woh kaali raat merey liye hoti  Raat bhar woh ghomaati apna kangan Woh bechayni woh betaabi merey liye hoti  Woh ek taara tha khuley aasmaan main Aey kaash woh roshni merey liye hoti  Merey wajood main bhi zindagi ka suraagh milta Jo woh munawar nazar merey liye hoti  Rishtaa kuch to ban jaata apna bhi Muhabbat nahi na sahi, nafrat merey liye hoti...

Uski Baatain Theen Riwaayat Se Hatt Kar

Uski Baatain Theen Riwaayat Se Hatt Kar, Sab Mein Rehta Tha Magar Sab Se Judaa Lagta Tha.

Bint-E-Hawa Nay Khol Rakhy Hain Bazar-E-Gunah

Bint-E-Hawa nay Khol Rakhy hain Bazar-E-Gunah Ibn-E-Adam hai Kharidar KhUDA Kher karay.

Kabhi Iska Kabhi Uska Kabhi Mera Hua Woh Shakhs

Kabhi Iska, Kabhi Uska Kabhi Mera hua wo Shakhs Husn Ganwa Dia Usne, Youn Tijarat karte karte...

Na Mil Saka Wo Baywafa Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai

Na Mil Saka Wo Baywafa Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai... Wo Roshni Kay Khayal Main Wo Na Asaka Raah Mian Muntazir Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main Mere Justojoo Ko Khabar Nahi Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai.. Kary Pyar Lab Pay Koi Gila Na Hoo Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai Wo Aankh Hai Mere Ru Baru Ussi Haath Mein Mera Haath Hai Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka Jo Mujhay Qarar Na Day Saka Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar Mujhay Apna Pyar Na Day Saka Wohi Shakhs Mere Talassh Hai Wohi Dard Mere Hayaat Hai Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai..

Hawa Jab Teez Chalti Hai Tumhari Yaad Aati Hai

Hawa Jab Teez Chalti Hai Tumhari Yaad Aati Hai.. Jab Pattey Sar-Saratey Hain Aur Ziker Tumhara Hota Hai.... Kabhi Bholey Sey Shab Ko Meray Dil Main A Ker Dekho Hai Aik Mahfil Sajji Hoti Aur Ziker Tumhara Hota Hai... Tumhin Kesay Bataoon Kitni Chahat Main Nay Ki Hai Tum Sey Kay Jab Bhi Aansoo Chhalaktey Hain Aur Ziker Tumhara Hota Hai...... Kabhi Chanda Ko Main Dekhon Kabhi Tarey Main Gintti Hoon Kabhi Chandni Muskurati Hai Aur Ziker Tumhara Hota Hai.... Zamana Hai Bohat Zalim Kahin Yeh Cheen Na Lay Tum Ko Isi Liyey Main Buss Khamosh Hoti Hoon Aur Ziker Tumhara Hota Hai...

Tu Khizan Me Bho Aye To Bahar Ka Gumaan Hota Hai

Tu Khizan me bhi aye to Bahar ka Gumaan hota hai Tu Yaad hai uski jo ab tak Paseman hota hai Tu ek Khuwab hai, Haqeeqat-e-Zindagi nahi Magar!! Ye Dil soch ker Tujhe phir b Pareshan hota hai Roz naye ek Zakhm pr rakhtey hain Mausam Hum Roz uske Khanjar ka phir naya Nishan hota hai Jis ne diye hain Dukh Hamein itne b  Wohi Hamari Rooh, wohi Hamari Jaan hota hai Yeh Dil k Ma'amley hain na Samjhoge Tum kabi is Intizaar per her koi Hairaan hota ha....

Armaan Hai Tujhe Pane Ka

Armaan hai tujhe Pane ka,  Teri Rooh mein uttar jane ka, Armaan hai teri Sason mein samana ka, Tera Sajda mein sar jhukane ka, Armaan hai tera Dil mein basne ka, Teri Deewani ban jane ka, Armaan hai teri Preet nibhane ka, Teri Jogan Ban jana ka, Armaan hai Bahaon mein simat jane ka, Tujh mein hi Fanna ho janae ka.....

MAA MOTHER POEM

Dard hua to dil se awaz aye maa Takleef hue to yaad teri aye maa Jab Sab na chor deya Mutlabi bewafa kah ke Phir majhey tere achal ki yaad aye maa Main kitna badnaseeb hoon Logo se piyaar maanga maine Mile majhey Tanhai Tuney Bin maanga Kitna piyaar deya Aur main teri hi kadar na kar saka maa BadGumani mein har ek ko maine Seena se lagaya Bus Badnaseebi to dheko bus tujhey hi apne galey se na laagaya maa Duniya ki ranginyon mein kohya raha bus ek tujh hi ko bhool ka sab ke pecha bhagta raha Teri Tanhaiyon mein ek pal bhi tere saath na raha Main badnaseeb teri maafi ka kabil bhi na raha Jab Hosh mein aya To maloom hua ke kio apna nehi bus tere siwa maa Teri goad main sar rakh ke ro ro ke mout-e-faryad ki dua ki Maa na rote rote apni zindagi apni khushiya bhi mere naam ki Main Kitna beaqal kamzarf hoon Tera khwab bhi pura na kar saka main tere leya kuch bhi na kar  saka maa Maine kitne dhuk deya Aur tuney uff tak na ki maa tuney ...

Jaan-E-Tamanna Kya Yeh Sach Hai Bas Itna Keh De

jaan-e-tamanna kya yeh sach hai bas itna keh de TooT jaaye na lamha Aeitbaar ka De koi silaa mere intezaar ka..

Apke Pyar Ki Inayat Chahiye

Apke Pyar Ki Inayat Chahiye Dil Hai Beghar Usse Ek Ghar Chahiye Bas Yuhi Sath Chalte Raho Mere Sanam Ye Sath Hume Umar Bhar Chahiye..

Tere Bina Jeena Pare Woh DIN Kabhi bhi na aaye

Tere Bina Jeena Pare Woh DIN Kabhi bhi na aaye Koi bhi aandhi ho Tofaan koi Humko Juda kar na paye Bas Ek Bar kiya Hai... Maine Tujhe Pyar Kiya Hai Hum Teri ISHQ Mein Jannat ko Bhulaenge..

Hoga Jo Gham Aapko Dard Kahin Aur Hoga

Hoga jo gham aapko dard kahin aur hoga, Hanso jo aap khush koi aur hoga, Socho toh zara uss anjan ke bare mein, Woh anjan hamare siwa aur kaun hoga!

Aye Zindagi Tere Bina Jeena Nahi Hai Mujhe

Aye zindagi tere bina jeena nahi hai mujhe Sajda karon RAB se kahoon de de dua mein mujhe, Mehfooz rakh lon tujhe mere dil ki yeh hai saada Saari duniya ka maine pyar paya teri chahaton mein Jee gayi tere sang main sadiyon ko ek lamhe mein....