Skip to main content

Posts

Showing posts with the label R

Rat Tanhai Shayari Hindi SMS Raat Ki Tanhai Me Aksar Yeh Sochti Rahti Hon

Raat Ki Tanhai Me Aksar Yeh Sochti Rahti Hon, Mohabbat Duaa Hai, Saza Hai, Jaza Hai Yah Gunah Hai...!!!

Love Judai Urdu Ghazal Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai

Roye hain bouhat tab zara qarar mila hai Is jahan me kisy Bhala sacha pyar mila hai, Guzar rahi hai zindagi imtehan ke daor sy Eak khatam huwa to dosra teyar mila hai, Mery daaman ko khuoshiyon ka nhi malaal Gham ka khazana jo isko beshumaar mila hai, Woh kam nasib hai jinhain mehboob mil gaya Main khushnasib hon mujhy Intezar mila hai...!!!

Urdu Roothna Shayari with Hindi Text Roothny Waly Bata Kaisy Manain Tujhko Images

Roothny Waly Bata Kaisy Manain Tujhko, Muskura De Ke Bass Ab Jaan Pe Bann Aai Hai...!!! ،روٹھنے والے بتا کیسے منائیں تجھ کو !!!...مسکرا دے کہ اب جان پہ بن آی ہے रूठने वाले बता कैसे मनाएं तुझ को، मुस्करा दे के अब जान पे बन आयी है...!!!

Ruthega To Manayga Kon Mujse Behtar Tujhe Chahega Kon

Ruthega to manayga kon Mujse behtar tuje chahega kon? Ashqon ki aag se pighalne ka darr Ab Moom ka Ghar banayga kon? Tu bhi hai dil bhi hai Or meri Laash bhi Faisla hona hai ke Isay Jalayga kon? Chup tu Rahe, Chup Main Rahu Zalim Phir Ishq-E-Ikrar ka Beeraa Uthayga kon? Palkain Bewfaion se khuli Rhti hai Meri Ab Nendon me Khwabon ko Satayga kon? Kafi hai k log teri yad me kho hai Maine bhi Yaad rakhi To Bhulayga kon...!!!

Raat Humain Kuch Yaad Nahin Tha

Raat Humain Kuch Yaad Nahin Tha Raat Bohot Hi Yaad Aaye Ho, Humsey Na Poocho Hijr Key Qissey Apni Kaho Ab Tum Kaisey Ho...!!!

Roye Gi Woh Iss Taraha Meri Laash Se Lipat Kar

Roye Gi Wo Iss Taraha Meri Laash Se Lipat Kar, Agar Pehle Pata Hota Toh Hum Kab Ke Mar Jaate...!!!

Ro Ro kar Dhoonda Karo Gy aik Roz Mere Khuloos Ko

Ro Ro kar Dhoonda Karo Gy aik Roz Mere Khuloos Ko, "Ae Naadan" Chala jaon ga mein aik din kisi khobsorat kafan ka naseeb ban kar....!!!

Rakha Hai Dil Me Humne Bary Ehtram Sy

Rakha Hai Dil Me Humne Bary Ehtram Sy, Jo Gham Diya Hai Tumne Muhabbat Ke Naam Se...!!!

Rone Se Nahi Hasil Kuch Ey Dil-E-Soodai Aankhon Ki Bhi Barbadi Daman Ki Bhi Ruswai

Rone Se Nahi Hasil Kuch Ey Dil-E-Soodai Aankhon Ki Bhi Barbadi Daman Ki Bhi Ruswai, Hum Loog Samandar Ke Bichrey Huey Sahil Hain Is Paar Bhi Tanhai, Us Paar Bhi Tanhai...!!!

Raat Ko Phir Yaad Ne Cheen Liaey Hosh-O-Hwas

Raat Ko Phir Yaad Ne Cheen Liaey Hosh-O-Hwas, Fanna Ho Jaingy Hum Agar Yahi Silsala Raha...!!!

RABB-E-KAENAAT Ek Hi Hai Dunya Ke Firono Se Dar Kesa

RABB-E-KAENAAT Ek Hi Hai, Dunya Ke Firono Se Dar Kesa...!!!

Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya

Raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya dil bohat kuch jala ke dekh liya, Aur kya dekhne ko baaki hai Aap se dil laga ke dekh liya, Aas uss dar se toot'ti hi nahin Ja ke dekh liya, na ja ke dekh liya, Woh mere ho ke bhi mere na huye  Unnko apna bana ke dekh liya, Aaj unnki nazar mein kuch humne  Sab ki nazrein bacha ke dekh liya, Takmeel-e-gham bhi ho na saki Ishq ko aazma ke dekh liya...!!!

Rait Ki Taraha Muthi Se Phisal Jaate Hai Yeh Sunhere Pal

Rait Ki Taraha Muthi Se Phisal Jaate Hai Yeh Sunhere Pal, Hath Me Reh Jati Hai Bas Rait Ki Chamkili Chubhan...!!!

Rasta Aisa Dhi Dushwar Na Tha

Rasta aisa bhi Dushwar na tha Bus Tum ko Hamari Chahat Pe Aitbar na tha, Tum hi Chal na sakey Hamare sath Warna Hamein to Jaan denay se bhi Inkar na tha..!!

Raat Ko Jab Hum Ne Ankhain Band Ki To

Raat Ko Jab Hum ne Ankhain Band Ki To Aap Humain Sab se Khush Nazar Aaye, Yeh Tariqa Hai agar Apko Khush Dekhne Ka, To KHUDA Kare Yeh Ankhain Sada Ke Liye Band Ho Jain..

Rakh Mere Haath Par Apne Haath Ka Bharosa

Rakh Mere Haath Par Apne Haath Ka Bharosa, Ke Ab Ke Hum Bichrain Toh Maut Aa Jaye ....

Rasam-E-Dunya Hai Baki Bass Dafnane Ki Abbas

Rasam-E-Dunya Hai Baki Bass Dafnane Ki "Abbas" Warna Mujood Hai Mujhme Har Nishani BeJaan Ki...

Raat Us Ne Pocha Tha Tum Ko Kaisi Lagti Hai Chandni December Ki

Raat Uss ne Poocha tha Tum ko Kaisi Lagti Hai Chandni December ki! Main ne Kehna Chaha Tha:Saal-o-Maah ke Baarey mein Guftagu ke Kya Maani? Chahey koi Manzir ho Dasht ho, Sumnadar ho June ho, December ho, Dharkanoon ka Har Naghma Manzaroon pe Bhaari hai Saath Jab Tumhara Ho, Dil ko Ik Sahara ho Aisa Lagta hai, jaise Ik Nasha sa Taari hai Lakin Uss ki Qurbat mein, Kuch Nahi Kaha Main ne Takti Reh gayi Mujh ko Chandni December ki...

Ranj Hai Ya Bebasi Hai Jo Bhi Hai Bass Musalsal Hai

Ranj hai yan bebasi hai Jo bhi hai "Bass" Musalsal hai  ملی ھےتمکو بھی تاعمرجاگنے کی سزا؟ ھمیں بھی نیند نہیں آئی اک زمانے سے

Raat Darwaze Ki Dastak Pe Dhyan Na Diya

Raat Darwaze Ki Dastak Pe Dhyan Na Diya, Subah Joh Pairon Ke Nishan Dekhe To Bahut Roye..!!