Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Night Poetry

Good Night My Love the Poem

Good Night, My Love Good night my love, My hope, my life, Dream sweet dreams, Free of strife. Rest your weary  Soul by me, Let all your tomorrows Be sorrow free. In this little, humble place, Blessed in part by your grace, We shall go on Through life , Despite the struggles That are rife, In love bounded by hope, In joy beyond all scope. Sleep peacefully now, My gentle love, Lit by the fire of the stars above...!!!

Rat Tanhai Shayari Hindi SMS Raat Ki Tanhai Me Aksar Yeh Sochti Rahti Hon

Raat Ki Tanhai Me Aksar Yeh Sochti Rahti Hon, Mohabbat Duaa Hai, Saza Hai, Jaza Hai Yah Gunah Hai...!!!

Good Night Urdu Shayari SMS: Bohat Thak Gya Hon Din Bhar Teri Rah Dekhte

Bohat Thak Gya Hon Din Bhar Teri Rahh Dekhte,  Ho Ijaazat To So Jaon Teri Yadon Ko Seene Se Laga Kar...!!!

Love Shayari SMS: Guzar Jaye Gi Yeh Khamosh Raat Bhi Gham-e-Zindgi Ki Tarha

Guzar Jaye Gi Yeh Khamosh Rat Bhi Gham-e-Zindagi Ki Tarha, Hota Jo Hamara Koi Apna To Hamain Bhi Rat Ka Salam Kehta...!!!

Hindi Love Mulaqaat Shayari Jiski Taabeer Tera Milna Ho Meri Aankhoon Me Bhi Woh Khaab Aaey

Jiski Taabeer Tera Milna Ho, Meri Aankhoon Me Bhi Woh Khawab  Aaey...!!! جــس کی  تـعـبـیـر تـیـرا مـلـنـا ہـو میری آنکھوں میں بھی وہ خواب آئے जिसकी ताबीर तेरा मिलना हो, मेरी आँखों  में भी वो ख्वाब आये...!!!

Urdu Hindi Love Shayari Dil Dhondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din Images

Dil Dhondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din , Baithe Rahen Tasawur-e-Jana Kiye Huhe...!!! , دل ڈھونڈتا ہے فرسٹ کے رات دن !!!...بیٹھے رہیں تصور جاناں کئیے ہوئے दिल  ढूँढता है फर्स्ट रात दिन, बैठे रहें तसव्वुर जानां किए हुए...!!!

Urdu Dil Shayari Ghazal Khushboo Ke Haath Phool Ka Pegham Reh Gaya

خوشبو کے ہاتھ پھول کا پیغام رہ گیا ،یہ دل کا سلسلہ بھی سرِعام رہ گیا کہتے ہیں جس نے چاند کو دیکھا تھا پہلی بار ،وہ شخص اپنے دل کو تو بس تھام رہ گیا آنکھوں کو موند لینا تھا ہم کو بھی اُس گھڑی ،جب اُس کا گھر سنا ہے کہ دوگام رہ گیا اے شب! نوید دینی تھی تجھ کو سحر کی اور

Urdu Night SMS: Gali Me Tooti Hui Chooriyan Mili Thi Subah Subha

،گلی میں ٹوٹی ہوئی چوڑیاں ملی تھیں صبح صبح !!!...رات پھر کسی معصوم کی محبت پے زوال آیا ہوگا Gali Me Tooti Hui Chooriyan Mili Thi Subah Subha, Raat Phir Kisi Masoom Ki Muhabbat Pe Zawaal Aaya Hoga...!!!

Sad Ghazal of Mohabbat in Hindi Urdu Shayari Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi, Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena Ajab Dil Ka Yeh Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi, Kabhi Aankhon Hi Aankhon Me Woh Baaton Ka Bata Dena Kabhi Takraar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

A Poem in Hindi Yehi Surkhi Jo Hay Terey Lab-e-Rukhsaar Pe Janaan

Yehi Surkhi Jo Hay Terey Lab-e-Rukhsaar Pe Janaan Yehi Rang-e-Sukhan Bharr Dey Mery Ashaar Me Janaan, Niraali Shaan Sey Aaoon Ga Sub Hairat Sey Dekhen Gey, Libaas-e-Ishq Pehnoon Ga Tery Darbaar Me Janaan, Mery Dil Ki Yeh Kefiyat Khuley Tum Pey To Kia Kehney Takalluf Hai Humain Jazbaat Ke Izhaar Me Janaan, Yeh Taareeki Ghatey Kesey, Shab-e-Furqat Katey Kesey? Sehar To So Gai Shayd, Terey Rukhsaar Me Janaan,

Judai Shayari in Hindi Zindagi Rukh Badal Gayi Hoti Kash Tu Mujh Ko Mil Gayi Hoti

Zindagi rukh badal gayi hoti Kash tu mujhko mil gayi hoti Zindagi ko galey laga leta Har tamanna pighal gayi hoti Kash tu mujhko mil gayi hoti, Khawab palkon pe main sajaa leta Tujh ko seeney se main laga leta Apne dil me tujhe basaa leta Meri kismat badal gayi hoti Kash tu mujhko mil gayi hoti,

Hindi SMS Love Shayari Poem Main Ne Tohmat-e-Takfeer Bhi Uthaai Hui Hai Urdu Ghazal

Main Ne Tohmat-e-Takfeer Bhi Uthaai Hui Hai Eik Naiki Merey Hissy Me Bhi Aai Hui Hai, Merey Kaandhon Pe Dharaa Hai Koi Haraa Huaa Ishq Yeh Ghari Hai Jo Muddat Se Uthaai Hui Hai, Toot Jaaunga Agar Mujh Ko Banaaya Bhi Gaya Koi Shaey Aesi Merey Jism Me Samaai Hui Hai, Sard Mehri Ke Ilaaqey Me Hoon Masroof-e-Duaa Zinda Rehnay Ke Liay Aag Jalaai Hui Hai, Qissaa Goo! Teri Chaupaal Se Main Ab Chaltaa Hoon Raat Bhi Bheeg Chuki, Neend Bhi Aayi Hui Hai...!!!

A Hindi Love and Romantic Ghazal For Girlfriend Kaash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

KASH MAIN TERAY HASEEN HATH KA KANGAN HOTA TOO BARAY PIYAR SAY , SHOOK SAY, MAAN KAY SAATH, APNI NAZUK SI KALAI MAIN CHARHATI MUJH KO AUR BAITABI SAY FURSAT KAY KHIZAAN LAMHON MAIN, TU KISI SOCH MAIN DOOBI JO GHUMATI MUJH KO MAIN TERAY HAATH KI KHUSHBOO SAY MEHEK SA JAATA, TU KABHI MODE ME AA KAR MUJHE CHOOMA KARTI TERAY HONTOON KI HIDDAT SAY DEHEK SA JAATA, RAAT KO JAB BHI TU NEENDOON KAY SAFAR PAR JAATI MARMARIEEN HAATH KA TAKIA BANAYA KARTI,

Hindi Love Ghazal Is Kainaat-e-Muhabbat Me Hum Misl-e-Shams-o-Qamar Hai

Is Kainaat-e- Muhabbat Me Hum Misl-e-Shams-o-Qamar Hai Ek Raabita Musalsal Hai Ek Faasla Musalsal Hai, Maain Khud Ko Baich Duun Phir Bhi Main Tujh Ko Paa Nhi Saktaa Main Aam Saa Hamesha Hun Tu Khas Sa Musalsal Hai, Waqat-e-Wisaal Ki Bhi Ek Aarzu Adhoori Hai Ek Aas Si Hamesha Hai Ek Khwaab Saa Musalsal Hai, Khata Kaaron Ki Qismat Me Jannat Huaa Nhi Karti Main Khatakaar Azal Se Hun Tu Parsaa Musalsal Hai...!!!

Hindi Love Ghazal Nigahon Ke Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai

Nigahon Ke Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai Yaqeen Kaamil Nahi Lekin Guman Hai Piyar Karti Hai, Laraz Jata Hon Main Yeh Soch Ke Kafir Na Ho Jaon Tabiyat Us Ki Pooja Pe Bara Israar Karti Hai, Use Maloom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Par Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai,

Urdu Poetry in English Hindi With Images

Tere Jmaal Se Dunya Haseen Hai Meri, Tere Khiyaal Se Dil Me Chiraagh Jalty Hain...!!! Tu Agar Hum Kalaam Ho Jaey, Hum Faqeeron Ka Kaam Ho Jaey...!!!

Hindi Love Shayari for Boyfriend and Girlfriend Ghazals with Images

Daman-e-Gull Me Hi Gulzaar BiKhar Jaate Hain Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hain, Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Me LeKein Jal Ke Parwaane Kaie Baar Bikhar Jaate Hain, Jin Ko Insaan Pirota Hai Bohat Ulfat Se Haaye Woh Gull Sar-E-Bazaar Bikhar Jaate Hain, Paaon Uthate Hain Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi Apni Raahon Me Kayi Khaar Bikhar Jaate Hain, Raat Ke Pichle Pehar Kehoon-e-Tamanna Ki Tarha Hum Teri Yaad Me Ay Yaar Bikhar Jaate Hain, Ho Ga Andaaz-e- Wafa Un Kea Alag Hi Mohsin Jin Kei Rahoon Me Talabgaar Bikhar Jaate Hain...!!! دامن گل میں ہی گلزار بکھر جاتےہیں ,آگ بجھتی ہے تو انگار بکھر جاتےہیں شمع جلتی ہے ایک ہی لمحے میں لیکن ،جل کے پروانے  کئ بار بکھر جاتےہیں جن کو انسان پروتا ہے بہت الفت سے

Best Hindi Urdu Ghazal Dunya Ki Talab Yun Bhi Khasarey Se Jurri Hai

Acha Hai Kisi Aur Nazaray Se Jurri Hai Dunya Ki Talab Yun Bhi Khasary Se Jurri Hai, Bahar Koi Aur Tamasha Hai Gali Mein Har Aankh Jo Khirrki Ke Isharay Se Jurri Hai, Mein Si Liyeh Dunya Pay Bharosa Nahi Karta Matti Ki Yeh Deewar Bhi Garay Se Jurri Hai, Yeh Kashtiyon Walay Tou Yun He Khof-Zada Hain Darya Ki Tou Har Mouj Kinaray Se Jurri Hai,

Safar Tanha Nahi Karty Suno Easa Nahi Karty

Safar " TANHA " Nahi Karty Suno " AESA " Nahi Karty... Chalo tum " RAAZ " ho Apna, Tumhen " AFSHAAN " nahi Karty... Suno jis ka " MUQDDAR " ho, Usy " CHORA " nahi Karty... Jisy " SHAFFAF " Rakhna ho, Usy " MAILA " nahi Karty... Jo bas jata hai " DHARKAN " men, Usy " BHOOLA " nahi Karty... Kisi ko " DIL " dety waqat, Bohat " SOCHA " nahi Karty... Jo pehly se hi " TANHA " ho, Usy " TANHA " nahi Karty... Suno " YADEEN " Sataengi, Magar " ROYA " nahi Karty... Suno tum " YAAD " aaty ho, Aur hum " SOYA " nahi Karty...!!!

Jab Bhi Dil Khool Ke Roye Honge Loog Aaraam Se Soye Honge

Jab Bhi Dil Khool Ke Roye Honge Loog Aaraam Se Soye Honge , Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil Hum Tou Kia Aap Bhi Roye Honge , Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia Phool Kaanton Mein Piroye Honge, Woh Safeenay  Jinhain Toofan Na Milay Na-Khudaon Ne Duboyein Honge...!!! Kya Ajab Hai Woh Milay Bhee Hon “ Faraz ” Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge...!!!