Skip to main content

Posts

Showing posts from May 29, 2014

Love Poetry/Shayari in Urdu about Aankhen/Nigahen

Suno meri aankhein khareedo gy, Mujhy aik khuwab ka tawaan bharna ha...!!! Teri muskurati ye tabinda aankhein Hain gahwara dosheza subh-e-no ka Keh aakash ky do sitaron ka sangam Bhatakty  howy jaisy do neely shabnam Mujhy udny dy in ki neeli fiza mein Yahan tak ky tay kar ky ye saari dunya Main ho jaoun gum in ki  gahraiyon me Ro pahli si sunahri parchaiyon me Teri muskurati ye tabinda aankhein....!!!

Sad Poetry Images in Urdu about Love | Missing | Yaad

Ham usey buhat YAAD aaein gy, Jab usey bhi koi thukraye ga...!!! Hun muhabbat sy majboor warna, Tujhy YAAD karna sawab thodi ha...!!! Is bars ka naam bhi ham ny, Teri YAADON ka saal rakha hai...!!!