Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Islamic Facebook Images

Chand Raat Greeting Cards with Chaand Raat Hindi Text Messages

"Bin Dekhy Usy Yaa Rab , Yeh Eid Na Guzry,   Kar Paida Koi Aisa Sabab K Eid Na Guzry ,   Dunia Ko Dikhaya Hai Ik Chaand Jo Tu Ny,   Mujhko Bhi Dikha Dy, K Yeh Eid Na Guzry...!!!"   -: Chand Raar Mubarak :- "Chand Aya Hai Nikal Geya Har Simat Ujaala      Hoga, Mahfil-e-Eid Ka Manzar Dilkash Nirala     Hoga, Tum Jo Aa Jao Ay Janaab-E-Mann      Rang-E-Eid Daikhny Walaa Hogaa...!!!" -: Chand Raar Mubarak :- “Chaand Raat Mubarak Ho Is Dua K Sath K Allah       Ta`laa Aap Ki Zindgi Ki Har Khahish Har Tamanna   Har Aarzoo Har Khushi Har Duaa Puri Kary. Aameen...!!!” -: Chand Raar Mubarak :- "Log Eid Ka Chand Denkhny Ki Koshish Kar Rahy Hein     Ap Kab Apny Kamry Sy Bahir Azo Gy..  Ta`k Aap Ko  Dekh Kar Logon Ka Intizar Khatam Ho Jaye,      Aor Main Aap Ko Tahe-Dil Sy Kahoon.. Eid Mubarak...!!!" -: Ch...

Chand Raat Mubarak SMS Meesages with Chand Raat Pictures

" Raat Ko Nayaa Chaand Mubark Chaand Ko  Chandni Mubark  Falak Ko Sitare Mubark  Sitaron Ko Bulandi Mubark Or  Aap  Ko Humari Tarf Sy Chand raat Mubarak...!! " -: Chaand Raat Mubarak :- " Tohfa Duaaon Ka Tumhein Ponhche Mera  Sada  Rahy Tumhary Gird Khushion Ka  Ghera Musarratein EID Ki Tumhein  Mubark Hoon Tumhari Zeest Mein Na  Aye Kabhi Ghamoon Ka Phaira...!! " -: Chaand Raat Mubarak :- " Chand Eid Kaa Nazar Aaya Hay,  Mubaarak Ho Sab Ko Din  Eid Kaa  Aya Hey.. Kro Shukar Adaa Us  Oopar Walay Ka..  Ki Jis Ney Yah  Jahaan Niaamaton Se Sarabar Bane Hein...!! " -: Chaand Raat Mubarak :- " Chupky Sy Chand Ki Roshni Chhoo Jaye Ap Ko Dhiray Sy  Yeh Hawaa Kuch Keh Jay Ap KoDil Se Jo Chahte Ho Maang  Lo KHUDAA Sy Hum Dua Karein Gay Keh Woh Mill Jaye Aap Ko...!! " -: Chaand Raat Mubarak :- " Tu Meri Duaon Main Shamil Hai Is Tarah... P...

Islamic Urdu Shayari, SMS, Quotes With Islamic Wallpapers

Ya rab teri shan jale ejalal hai Meri maang rizq e halal hai Meri aajizi ko kar qabool Meri zindagi ka sawal hai...!!! Wahi rakhy ga mery ghar ko balaoun sy mahfooz Jo shajar sy ghonsla girny nahi deta...!!! Log tangdasti sy jitna darty hain Agar dono sy darein to dono sy bach jaien Maal sy jitni muhabbat karty hain Agar jannat sy karein to dono paa lein...!!! Dhondta raha sukon ko har jaga umer e rawaan ky saath Ya Rab kahein or na mila sukoon tery sajdy ky siwa...!!!   Jab main kahta hon ya Allah mera haal dekh Hukam hota hai ky apny naama amal dekh...!!! Kis qadar pur kaif ha teri zaat sy ishq ay Allah Na bewafai ka khadsha, na judai ka koi khof...!!! Mit jaye gunahon ka tasawur hi jahan sy IQBAL Agar ho jaye yaqeen ky khuda dekh raha hai...!!! Nahi main mohtaj duniya ka ik tery siwa ya rab Mery sajdy qabool kar ly meri saanein totny sy pahly...!!! Yo...

Sajda-e-Sahw ka Bayan in Islamic Wallpapers | How to do Sajda-e-Sahw

Sajda-e-Sahw  ka Bayan #1: Abu Huraira r.a sy Riwayat ha Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab tum mein koi  nimaz parhta ha to shaitan us ki nimaz mein shuba dalta ha aur usko yaad nahi rahta ky kitni rikatein parhein jab tum  mein sy kisi ko aisa ittifaq ho to bethy bethy do sajdy kary...!!!" Sajda-e-Sahw  ka Bayan #2: Teen ya Char Rikat ky Shak mein Sajda: Abu Saeed Khudri r.a bayan karty hain  ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Agar tum mein kisi ko rikat ki tadad ky bary mein shak par jaye teen parhi hain yaa  char? To shak ko chor dy aur yaqeen par aitamad kary. Phir salam phairny sy pahly do sajdy kary. Agar us ny panch rikat  nimaz parhi to yeh sajdy uski nimaz (ki rikat) ko juft kar dein gy aur agar us ny pori char rikat nimaz parhi to yeh  sajdy shaitan keliye zilaat ka sabab hongy...!!!"

Ramzan Chand Mubarak SMS in Urdu with Wishes Wallpapers

Chand ki Pehli Dastak Pay Chand Mubarak Kehtay Hain, Sub Say Pehlay Hum Aap Ko " RAMZAN MUBAARAK " Kehtay Hain...!!! Ramadan Kareem Mubarik. May Allah Enables us to do More and More Good Deeds and to Make the Most of this Month... May Allah Forgive are Sins (Aameen) Remember Me In your Prayers...!!!

Islamic Wallpapers for Facebook Hadees or Quran

Hazrat Abdullah Bin Umer r.a sy marvi ha keh  Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah Taala raham karny walon par raham karta hai tum zameen walon par raham karo aasman wala tum par raham kary ga raham rahman sy mashtak ha jo shakhs rishta jory ga Allah taala usey ( apni rahmat ky sath ) jory ga aur jo rishta tory ga Allah tala usey (apni rahmat sy) torr dy ga...!!!" Mahboob sy Mahroomi par Sabar Karny waly Insan ki Fazelat: Hadees-e-qudsi  hai Allah tala farmaty hain: "Mera woh momin banda ky jab main ahal-e-dunya mein sy uska koi  mahboob tareen saathi apny pas bula lon, phir who usy Allah ka hukam samajh kar hansi khushi  qabool kar ly to mery pas uska badla jannat ky siwa kuch nahi hai...!!!

Hadees ke Hawala se Waldain ki Nafarmani or Uski Saza in Urdu Tarjuma

Waldain ka na farman Jahanumi hai: Umer Bin Marah r.a bayan karty hain keh aik aadmi Nabi Kareem s.a.w ki taraf aaya us sy kaha ay Allah ky Rasool  s.a.w!  main gawahi deta hun ky Allah ky siwa koi mabood barhaq nahi aur aap Allah ky Rasool hain aur main panch nimazein parhta hun apny maal ki zakat deta hun aur ramzan ky rozy rakhta hun Aap s.a.w ny farmaya: "Jo is par (yani mazkora aamal par) mar jaye woh qayamt ky din anbia siddeqein (intahai sachy) aur shohada ky sath is tarha hoga aur Aap s.a.w ny do unglion ko khara kiya jab ky us ny waldain ki Nafarmani na ki hogi...!!!" Waldain ka Nafarman Jannat mein Dakhil nahi Hongy: Abdullah r.a farmaty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky din teen aadimion ki taraf Allah Tala nahi dekhy ga:" 1: Waldain ka Nafarman. 2: Mardon ki Mushabihat karny wali Orat. 3: Deos.

Khany sy Faragat ky Baad ki Dua in Urdu Tarjuma Image

Khany sy faragat ky baad ki dua : "Har kism ki tareef Allah hi keliye ha jis ny yeh khana mujhy khilaya aur mujhy yeh (khana) ata kiya bagair meri kisi taqat ky aur bagair meri kisi quwat ky...!!!" Wazahat: Allah ka nam lekar khana shuro karna aur farig ho kar Allah ka shukar ada karna naimat mein barkat ka baais hai...!!!

Duniya or Akhirat ki Zindagi Hadees-e-Mubarka in Urdu Tarjuma

Dunya ki Zindagi: "Allah jis keliye chahata ha rizq kushada kar deta ha aur (jis keliye chahata ha) tang karta aur wo dunya ki zindagi par khush ho gaye hain halan ky dunya ki zindagi aakhrat ky mukabla mein thory sy saaman ky ilawa kuch nahi...!!!" Hadees mein aata ha ky dunya ki hasiat aakhrat ky muqably mein aisy ha jaisy koi aadmi apni ungli samander mein dal kar nikaly aur dekhy samandar ky pani ky muqably mein uski ungli mein kitna paani aaya hai...!!!

Islamic Inspirational Hadees and Ayaat about Namaz in Urdu Translation

Masajid ki taraf jana : Hazrat Abu Huraira sy Riwayat ha keh Allah ky Rasool s.a.w ny farmaya: "Jis ny apny  ghar mein paaki hasil ki phir Allah ky gharon mein sy kisi ghar ki taraf Allah taal ky faraiz mein sy  kisi fareza ki adaigi ki khatir chala to us ka aik naqsh-e -kadam aik gunah ko mitata ha aur dosra aik  darja buland karta hai...!!!" Masajid ki taraf jana: Aur Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat ha woh bayan karty hain ky hamary makanat masjid sy door aik gosha mein they chunachy ham ny apny makanat farokhat kar ky masjid sy qareeb aabad hony ka irada kiya to Allah ky Rasool s.a.w ny ham ko us sy mana farmaya aur kaha: "keh tumhary har kadam ky badla darja hai...!!!"

Aayat and Hadith Meaning in Urdu with Images

Aap s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky roz bandy sy jis cheiz ka sab sy pahly hisab liya jaye ga wo farz nimaz ha pas agar us ny nimazien pori parhi hongi, to woh pori likhi jaien gi, lekin agar pori na parhi hongi, to Allah Tala apny farishton sy farmaye ga: Dekho! kiya (nama aamal mein) mery bandy ky koi nafal bhi hain? (agar hain) to us sy un ky farzo ki kami pori kar do, phir usi tarha us ki zakat ko dekha jae ga phir us ky bad usi tarha dosry farz aamal ka hisab hoga...!!! Abu Zar r.a riwayat karty hai keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Tera kiya hal hoga? Jis waqat tujh par aisy  imam hakim hon gy jo nimaz mein dair karein gy ya us ky waqat sy qaza karein gy...!!!" Mainy kaha Aap mujhy is hal mein kiya hukam  farmaty Aap s.w.a ny farmaya: "Nimaz ko us ky waqat par parh phir agar tu is nimaz ki jamat ko un ky sath paa ly to un ky saath dobara  nimaz parh ly tahqeeq yeh nimaz tery liye nafal hogi...!!!"

99 Names of ALLAH with Urdu and English Teanslation and Images

الله -  معبود حقیقی ALLAH -  The Greatest Name Allah, He who has the Godhood which is the power to create the entities. الرحمن -  حد سے زیادہ مہربان  Al-Rehman -  The All-Compassionate The Compassionate, The Beneficent, The One who has plenty of mercy for the believers and the blasphemers in this world and especially for the believers in the hereafter. الرحيم - نہایت رحم کرنے والا Ar-Raheem - The Merciful The Merciful, The One who has plenty of mercy for the believers.

Dunya-o-Aakhrat ki Jaamy Dua Hadees-e-Mubarka in Urdu Tarjuma

Dunya-o-Aakhrat ki Jaamy Dua: Abu malik ashjayi apny baap sy riwayat karty hain ky aik aadmi Nabi s.a.w ky paas aaya aur kaha: "Ay ALLAH ky Raool s.a.w main apny RAB sy maango to kiya kahon to Aap s.a.w ny farmaya: Kaho ay ALLAH  mujhy bakhsh dy mujh par raham farma mujhy aafiat dy aur mujhy rizq ata farma aur dono hathon ki unglion ko ikhata kar ky apny hath utha dy to ALLAH taala un ungliyon mein dunya-o-aakhrat ki bhaliyon ko jama kar dy ga...!!!

Nabi s.a.w Par Darood Bhejne ki Fazeelat Ke Bare Ek Hadees with Urdu Tajuma

Nabi s.a.w Par Darood ki Fazeelat: Aap s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs subha-o-sham das das martaba mujh par yeh darood parhta hai roz-e-qayamat unhain meri shafa at hasil hogi...!!!" Aap s.a.w ny mazeed farmaya: "Roz-e-qayamt mery sab sy ziyada qareeb wo shakhs hoga jo mujh par kasrat sy darood parhta hai...!!!"

Azaan ky Baad Ki Duaa or Isky Parhny ki Fazeelat Hedees-e-Mbarka se Riwayat

Azaan ky Baad yeh Dua Parhny ki Fazeelat: Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya jo shakhs azaan sun kar yeh kalimat kahy: "Ay ALLAH is mukamal daawat aur qaim hony wali nimaz ky RAB Muhammad s.a.w ko waseela aur fazeelat ata farma aur unhain us Maqam-e-Mahmood par faiz farma jis ka tuny unsy wada kiya hai...!!!" Aisy shakhs keliye qayamat waly din meri safa at halal (wajib ho gai)...!!!

Hadees-e-Mubarka ke Mutabik Subh ky Waqat Parhny wali Dua

Subh ky waqat parhny wali Dua: Aap s.a.w ny farmaya: "Jis ny subha ky waqt yeh kalimat parhy: Main ALLAH ki rabobiat deen-e-islam aur Muhammad s.a.w ki Nabowat-o-Risalat par raazi hon to main  (Muhammad  s.a.w )  yeh zamat deta hon ky main  (Muhammad  s.a.w )  khud us ko hath sy pakar kar jannt mein dakhil karonga...!!!"

Jannat Ki Hadood or Fasla Hadees-e-Mubarka KE Hawale Se Urdu Tarjuma

Aap s.a.w ny farmaya: " Jannat ky aik kinay sy lekar dosry kinary tak ka fasla chalees saal ki musafat ky barabar ha aur yaqeenan aik din aaye ga ky jannat logon ky hujoom sy bhari hogi...!!!"

Ilm-e-Deen or Taleem Ki Ehmiyat or Fazeelat Ki Hadees Urdu Tarjuma

Deen ka Ilm Hasil karny ki Fazeelat: Rasool ALLAH s.a.w  ne Farmaya: " Jo shakhs Ilm ki justajo mein kisi raah ka musafir howa ALLAH taala usky liye jannat ki raah aasan kar dety hain...!!!"