Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Hadees in Arabic

Jannat me Dakhil Hone ki 40 Ahadees-e-Mubaraka in Islamic Wallpapers Urdu

There are Forty (40) Hadees-e-Mubarka about  Paradise in Islam ( Jannah ) in Images for Social Media post share. Allah ka Dar aur Acha Ikhlaq: Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah  s.a.w sy aisy amal ky bary mein sawal kiya gaya jo sab sy ziyada logo ko jannat mein dakhil kary ga to Rasool Allah  s.a.w ny farmaya: "Allah ka dar aur acha ikhlaq...!!!" Khalos-e-dil sy Kalmy ki Shahat Dena: Sayadna Maaz r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool  Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny khalos-e-dil sy ye shahadat di ky Allah tala ky ilawa koi mabood barhaq nahi woh  jannt mein dakhil hoga...!!!"

Aayat and Hadith Meaning in Urdu with Images

Aap s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky roz bandy sy jis cheiz ka sab sy pahly hisab liya jaye ga wo farz nimaz ha pas agar us ny nimazien pori parhi hongi, to woh pori likhi jaien gi, lekin agar pori na parhi hongi, to Allah Tala apny farishton sy farmaye ga: Dekho! kiya (nama aamal mein) mery bandy ky koi nafal bhi hain? (agar hain) to us sy un ky farzo ki kami pori kar do, phir usi tarha us ki zakat ko dekha jae ga phir us ky bad usi tarha dosry farz aamal ka hisab hoga...!!! Abu Zar r.a riwayat karty hai keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Tera kiya hal hoga? Jis waqat tujh par aisy  imam hakim hon gy jo nimaz mein dair karein gy ya us ky waqat sy qaza karein gy...!!!" Mainy kaha Aap mujhy is hal mein kiya hukam  farmaty Aap s.w.a ny farmaya: "Nimaz ko us ky waqat par parh phir agar tu is nimaz ki jamat ko un ky sath paa ly to un ky saath dobara  nimaz parh ly tahqeeq yeh nimaz tery liye nafal hogi...!!!"

Dunya-o-Aakhrat ki Jaamy Dua Hadees-e-Mubarka in Urdu Tarjuma

Dunya-o-Aakhrat ki Jaamy Dua: Abu malik ashjayi apny baap sy riwayat karty hain ky aik aadmi Nabi s.a.w ky paas aaya aur kaha: "Ay ALLAH ky Raool s.a.w main apny RAB sy maango to kiya kahon to Aap s.a.w ny farmaya: Kaho ay ALLAH  mujhy bakhsh dy mujh par raham farma mujhy aafiat dy aur mujhy rizq ata farma aur dono hathon ki unglion ko ikhata kar ky apny hath utha dy to ALLAH taala un ungliyon mein dunya-o-aakhrat ki bhaliyon ko jama kar dy ga...!!!

Nabi s.a.w Par Darood Bhejne ki Fazeelat Ke Bare Ek Hadees with Urdu Tajuma

Nabi s.a.w Par Darood ki Fazeelat: Aap s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs subha-o-sham das das martaba mujh par yeh darood parhta hai roz-e-qayamat unhain meri shafa at hasil hogi...!!!" Aap s.a.w ny mazeed farmaya: "Roz-e-qayamt mery sab sy ziyada qareeb wo shakhs hoga jo mujh par kasrat sy darood parhta hai...!!!"

Azaan ky Baad Ki Duaa or Isky Parhny ki Fazeelat Hedees-e-Mbarka se Riwayat

Azaan ky Baad yeh Dua Parhny ki Fazeelat: Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya jo shakhs azaan sun kar yeh kalimat kahy: "Ay ALLAH is mukamal daawat aur qaim hony wali nimaz ky RAB Muhammad s.a.w ko waseela aur fazeelat ata farma aur unhain us Maqam-e-Mahmood par faiz farma jis ka tuny unsy wada kiya hai...!!!" Aisy shakhs keliye qayamat waly din meri safa at halal (wajib ho gai)...!!!

Hadees-e-Mubarka ke Mutabik Subh ky Waqat Parhny wali Dua

Subh ky waqat parhny wali Dua: Aap s.a.w ny farmaya: "Jis ny subha ky waqt yeh kalimat parhy: Main ALLAH ki rabobiat deen-e-islam aur Muhammad s.a.w ki Nabowat-o-Risalat par raazi hon to main  (Muhammad  s.a.w )  yeh zamat deta hon ky main  (Muhammad  s.a.w )  khud us ko hath sy pakar kar jannt mein dakhil karonga...!!!"

Ilm-e-Deen or Taleem Ki Ehmiyat or Fazeelat Ki Hadees Urdu Tarjuma

Deen ka Ilm Hasil karny ki Fazeelat: Rasool ALLAH s.a.w  ne Farmaya: " Jo shakhs Ilm ki justajo mein kisi raah ka musafir howa ALLAH taala usky liye jannat ki raah aasan kar dety hain...!!!"

Hadees and Qurani Ayaat about Jannah in Urdu Tarjuma Pictures

Ehal-e-jannat ki Bewiyan: Aur Rasool Allah s.a.w ny jannti orton ky husn-o-jamal ka tazkira karty howey farmaya: "Har jannti ko  do moti aankhon wali horein bator-e-bewiyan ata ki jaein gi har bewi kapron ky sattar jory zaib tan  kiye howey hogi uski pindli ky andar ka goda usky kapro aur ghost ky wary is tarha saaf nazar aa raha  hogs jis tarha saaf shafaf sheshy ky gilas mein sharab nazar aa rahi hoti hai...!!!" Jannat ky Libas ka Bayan: Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs jannat mein dakhil ho gaya wo hamesha khush hal zindagi mein hoga kabhi mohtaj nahi hoga na uska libas boseeda hoga aur na uski jawani dhaly gi...!!!" Rasool ALLAH ny farmya: "Sab sy pahla ghar wo jo jannat mein hoga unky chahry chodhwein raat ky chand ki tarha chamak rahy honeing naiz farmay har jannti keliye do horein moti aankhon wali uski bewiyan hongi har bewi sattar joro sy aarasta hogi uski pindli ka goda usky jodo aur ghost ky wary nazar aaye ga aur j...

Islamic Hadees Jannat ky Ghoron ka Bayan in Urdu

Jannat ky Ghoron ka Bayan: Abu Ayyub R.A ka bayan ha ky Rasool ALLAH  S.A.W  ky paas aik dihati aaya aur kahny laga: "Ay ALLAH ky Rasool S.A.W mujhy ghora buhat pasand ha kiya jannat mein ghory hongy ?" Aap  S.A.W  ny farmaya: "Agar tujhy jannat mil gai to tujhy yaqoot ka aik ghora ata kiya jaye ga jis ky do par hongy tu us par sawar hoga phir woh tujhy lekar parwaz kary ga jahan tu chahy ga...!!!"

Afazal Tareen Duaa Ba-Hawala Hadees in Urdu

Afazal Tareen Duaa: Rasool Allah S.A.W ny farmaya: "ALLAH taala sy aafiat aur muafi ka sawal karo mot ky baad aafiat sy barh kar kisi keliye koi bhalai nahi ha aur farmaya banda ki apny Parwardigar sy bahtareen dua ye ha ay ALLAH main tujh sy dunya aur aakhrat mein muafi ka khaastgar hon...!!!

Islamic Hadees in about Jannah Ahl-e-Jannat ki Bewiyan

Rasool Allah s.a.w ny Ahl-e-Jannt ki orton ki sifaat bayan  karty howey farmaya:  "Agar koi jannti orat jannt sy zameen ki taraf jalwa gar ho to zameen-o-aasman ka  khala khushbo sy bhar jaye ga aur roshni sy munawar ho jaye ga aur usky sar ka dopata dunya-o- mafiha   sy ziyada bahtar ha...!!!"

Hadees-e-Mubarka Jannat Ki Nehrein in Urdu Tarjma

Aap s.a.w ka farman hai: " Jannat ki nahrein kastori ky teelon aur paharron ky nechey sy niklein gi...!!!" Neez Rasool Allah s.a.w ny farmaya: " Jannat mein aik samundar pani ka ha aik doodh ka aik shahad ka aur aik sharab phir is sy mukhtalif nahrein jari hongi...!!!"

Islamic Urdu Hadees Woh Dua Jo Kabhi Rad Nahi Hoti

Woh Dua Jo Kabhi Rad Nahi Hoti: Rasool ALLAH S.A.W ny farmaya hai: Machli waly (Hazrat Younas a.s) ny machli ky pait mein yeh dua ki thi : "Tery siwa koi ibadat ky laaiq nahi ha yaqeenan main hi zalim hon...!!!" Koi shakhs jab bhi kisi chiez ky bary mein dua karta ha to ALLAH uski dua ko zaroor qabool farmty hain...!!!

Hadees Shreef Jannat Ky Khany aur Mashrobaat in Urdu Image

Jannat ky Khany aur Mashrobat: Hazrat Abu Imamah sy moqoof riwayat hai woh bayan  karty hain keh: " Jannati jab jannat ky kisi mashroob ki khahish kary ga to is mashroob ka bhara howa jam  khud bakhud isky hath mein tham jaye ga phir peeny ky baad wo jaam apni jaga apr lot jaye ga...!!!" Inhi sy R iwayat hai ky: " Jab koi Jannati jannat ky kisi parindy ka ghost khany ki khahish kary ga to foran us  parindy ky bhuny howey tukry is ky saamny aajein gy...!!!"

Islamic Urdu Hadees Ahl-e-jannat ki Bewiaan

Ehl-e-Jannat Ki Bewiaan. "Ham un bewiyon ko khas tor par naye siry sy paida karein gy aur ham unhain baakra bana dein gy wo khawind ki ham umer aur us sy muhabbat karny walian hongein...!!!" Imam bagwi ny apni tafseer mein is aayat ky ziman mein farmaya: "Is sy murad dunya ki wo bodhi ortein hain jin ko ALLAH naye siry sy paida karein farmaein gy jab wo unky paas aaien gy to wo unhain baakra paein gy...!!!"