Is Basti Ke aik kooche Me Insha naam ka Deewana Aik naar pe jaan ker haar gaya, mashhoor hai us ka afsana Is naar Me aisa roop na tha, jis roop se din ki dhoop dabe Is shaher Me kia kia gouri hai, mahtaab rukhe, gulnaar liye Kuch baat thi us ki baaton me, kuch bhaid thay us Ke chatoon me Wahi bhaid Ke joot jagate hain, kisi chahne wale Ke mun me Usay apna banane ki dhun me, howa aap he aap se begaana Is basti Ke aik kooche Me Insha naam ka deewana