Aaj phir teri yaad aai barish ko dekh kar Dil py zor na raha apni bebasi dekh kar Roya to is qadar teri yaad mein Ky barish bhi tham gayi meri barish ko dekh kar...!!! Ab ki barsat ki raaton mein badan tot ta hai Jaag uth ti hai ajab khahishen agrayi ki...!!! Barishon ky mousam mein badlon kesy main Aik gaoun ki rah par yaad hai mily they ham Phir ye hadsa howa aasman to tham gaya Lekin apni aankhon sy tab sy lekar aaj tak Barishein barasti hain...!!! Barsat ki bheegi raaton mein phir koi suhani yaad aai Kuch apna zamana yaad aaya kuch unki jawani yaad aai Hum bhool chuky thy jisny hamein dunya mein akela chora tha Jag gor kiya to aik surat jaani pahchani yaad aai...!!! Bheeg jati hain palkain tanhayi mein Darty hain koi jaan na ly Pasand karty hain taiz barsat mein chalna Kahein roty howey ko koi pahchan na ly...!!! Jo barish ki tamana hai to in aankhon mein aa betho Wo barson mein kahei...