Us shakhs sy faqat itna sa ta aluq ha FARAZ, Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati...!!! Khuwab marty nahi Khuwab dil han, na aankhein, na shamein ky jo Reza reza howey to bikhar jaein gy Jisam ki moot se yeh bhi marr jainge Khuwab marty nahi Khuwab to roshni hain, nawa hain, hawa hain Jo kaaly paharron sy rukty nahi Zulm ky dozakhon sy bhi phukty nahi Roshni aur noor aur hawa ky alam Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukty nahi Bhuwab to harf hain Khuwab to noor hain Khuwab to suqraat hain Khuwab to mansoor hain...!!!