Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Islamic Sayings

Islamic Hadees about Jannat Sab Sy Kam Darjy Ka Jannti in Urdu Tajma

Sab Sy Kam Darjy Ka Jannti: Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya: "Sab sy kam darjy ka jannti woh hoga ky ALLAH taala uska chahra jahanum sy phair kar jannat ki taraf kar dega aur usko aik saaya dar darakht dikhaye ga usey dekh kar woh aadmi kahy ga: Ay mery RAB mujhy is darakht ky qareeb kar dy taaky main is ky saaye taly ho joun...!!!" Isky baad mukamal hadees ha jis mein us shakhs ky jannat mein dakhil hony aur uski aarzoun ka tazkira ha aakhir mein yeh alfaz hain: Jab uski tamam aarzoein khatam ho jein gi to ALLAH taala farmaein gy: "Tujhy yeh sab kuch aur iska das gunah mazeed diya jata hai." Aap s.a.w ny farmaya: Phir woh jab apny ghar jannat mein dakhil ho jaye ga to do moti moti aankhon wali horein bewiyan ban kar usky pas aaien gi aur kahein gi ALLAH ka shukar ha jis ny tujhy hamary liye paida kiya aur hamein tumhary liye paida kiya woh shakhs yeh sab kuch dekh kar kahy ga ALLAH ny kisi ko itna ziyada nahi diya jitna mujh ko diya hai...!!!" ...

Islamic Hadees in about Jannah Ahl-e-Jannat ki Bewiyan

Rasool Allah s.a.w ny Ahl-e-Jannt ki orton ki sifaat bayan  karty howey farmaya:  "Agar koi jannti orat jannt sy zameen ki taraf jalwa gar ho to zameen-o-aasman ka  khala khushbo sy bhar jaye ga aur roshni sy munawar ho jaye ga aur usky sar ka dopata dunya-o- mafiha   sy ziyada bahtar ha...!!!"

Hadees in Urdu Azeem Khushkhabrian aur Waady

Azeem Khushkhabrian aur Waady: "Aur jin logon ny iman ki rah ikhtiar ki aur usky  mutabik apny aamal darust kar liye unhain khushkhabri dy do ky un keliye sarsabz-o-shadab baagh hain  jin ky neechy nahrein bah rahi hongi jab in baghon ka koi phal unhian paish kiya jaye ga to wo foran  bol uthein gy ky aisy hi phal is sy pahly dunya mein ham ko diye jaty they naiz inky keliye pakiza aur  parsaa bewiyan hongi aur wo wahan hamesha hamesha rahein gy...!!!"

Hadees Shreef Jannat Ky Khany aur Mashrobaat in Urdu Image

Jannat ky Khany aur Mashrobat: Hazrat Abu Imamah sy moqoof riwayat hai woh bayan  karty hain keh: " Jannati jab jannat ky kisi mashroob ki khahish kary ga to is mashroob ka bhara howa jam  khud bakhud isky hath mein tham jaye ga phir peeny ky baad wo jaam apni jaga apr lot jaye ga...!!!" Inhi sy R iwayat hai ky: " Jab koi Jannati jannat ky kisi parindy ka ghost khany ki khahish kary ga to foran us  parindy ky bhuny howey tukry is ky saamny aajein gy...!!!"

Hadees in Urdu Momin Mardon aur Momin Orton Keliye Sab sy Bari Kamyabi

Sab Sy Bari Kamyabi: "Momin mardon aur momin orton keliye ALLAH ki taraf sy baghon ka wada ha jin ky neechy nahrein bah rahi hongi aur wo un mein hamesha rahein gy in sada bahar bagon mein unkeliye pakeza qayam gahein hongi aur sab sy barh kar naimat yeh keh ALLAH taala ki khushnodi unhain hasil hogi aur yahi sab sy bari kamyabi ha...!!!"

Islamic Quotes, Hadees and Sayings SMS in Urdu with Pictures for Facebook Posts

Aey Allah main tery naam sy din ka aagaz kar raha hon mera aur tamam musalmano ka sara din acha guzray aamin...!!! Gunahon Ka Boojh Halka Kijiaey. Hazrat abdullah bin umer (R.A) farmaty han ky mainy rasool Allah (S.A.W) ko ye  irshad farmaty howey suna: "Jab koi shakhs nimaz keliye khara hota to usky gunah usky sar aur kandhon par  rakh diye jaty jab jab wo rakoo aur sajdy mein jata to wo gunah girty rahty hain....!!!"

Islamic Quote and Sayings in Urdu with Images for Facebook

Urdu Islamic Inspirational Quotes and Sayings with Images for Facebook Timeline Posts Status. ALLAH se rishta joro sab toty rishty jurr jainge...!!! Koi tum sy roth jaye phir  wahi tum sy milny ko tarsy to usey kabhi mat khona kiun ky wo tum sy buhat ziyada piyar karta ha...!!! Hazrat Ali...!!! Soorat bagair seerat ky aisa phool jis mein kanty ziyada hon aur khushbo bilkul na ho...!!!