Dunya Me Jeeny Ki Chaahat Na Hoti Agar KHUDA Ne Mohabbat Banai Na Hoti, Loog Marny Ki Aarzoo Na Karty Agar Mohabbat Me Bewafai Na Hoti, Yaadon Me Humari Woh Bhi Khoey Hongy Khuli Aankhon Se Kabhi Woh Bhi Soey Hongey, Manaa Husn Hai Adaa Gham Chupane Ki Par Hansty Hansty Kabhi Woh Bhi Roey Hongy...!!!
Dard-E-Dil Jab Had Sey Guzar Jata Hai Bankar Syahi Kaagaz Pey Bikhr Jata Hai, Jab Jab Utha Ha Tery Yadon Ka Dhwan, Bankar Nasha Is Dil Me Utar Jata Hai...!!!
Dard Is Dil Ky, Kisi Ko Bataaney Se Kya Faedaa Zakhmon Se Apne, Rubaro Karane Se Kya Faedaa, Ashq Apne Hain, Inhain Sameet Lo Daman Me Kisi Bedard Par Yunhi, Lutane Se Kyaa Faedaa...!!!
Dil Dhondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din , Baithe Rahen Tasawur-e-Jana Kiye Huhe...!!! , دل ڈھونڈتا ہے فرسٹ کے رات دن !!!...بیٹھے رہیں تصور جاناں کئیے ہوئے दिल ढूँढता है फर्स्ट रात दिन, बैठे रहें तसव्वुर जानां किए हुए...!!!
Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah, Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah, Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jagaon Ga Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah, Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs “ Wasi ” Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah...!!!
Dukh Day Kar Sawaal Kartay Ho Tum Bhi Ghalib ! Kamaal Kartay Ho, Daikh Kar Pooch Liyaa haal Mera Chalo Kuch to Khayaal Kartay Ho, Shehar-e-Dil Me Yeh Udaasiyaan Kaisi? Yeh Bhi Mujhsy Sawaal Kartay Ho? Marna Chaahain To Marr Hahi Saktay Tum Bhi Jeenaa Muhaal Kartay Ho, Ab Kiss Kiss Ki Misaal Doon Tum Ko? Har Sitam Bay-Misaal Kartay Ho...!!!
Dil Gaya Tha To Yeh Aankhain Bhi Koi Ly Jata, Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahan Tak Dekhon...!!! ،دل گیا تھا تو یہ آنکھیں بھی کوئی لے جاتا !!!...میں فقط ایک ہی تصویر کہاں تک دیکھوں दिल गया था तो ये आँखें भी कोई ले जाता, मैं केवल एक ही तस्वीर कहाँ तक देखूँ...!!!
Dil Na Umeed To Nahi Nakaam Hi To Hai, Lambi Hai Gham Ki Shaam Magar Shaam Hi To Hai...!!! دل نہ امید تو نہیں، ناکام ہی تو ہے لمبی ہے غم کی شام ،مگر شام ہی تو ہے दिल ना उम्मीद तो नहीं नाकाम ही तो है, लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है...!!!