Aap s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky roz bandy sy jis cheiz ka sab sy pahly hisab liya jaye ga wo farz nimaz ha pas agar us ny nimazien pori parhi hongi, to woh pori likhi jaien gi, lekin agar pori na parhi hongi, to Allah Tala apny farishton sy farmaye ga: Dekho! kiya (nama aamal mein) mery bandy ky koi nafal bhi hain? (agar hain) to us sy un ky farzo ki kami pori kar do, phir usi tarha us ki zakat ko dekha jae ga phir us ky bad usi tarha dosry farz aamal ka hisab hoga...!!!
Abu Zar r.a riwayat karty hai keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Tera kiya hal hoga? Jis waqat tujh par aisy imam hakim hon gy jo nimaz mein dair karein gy ya us ky waqat sy qaza karein gy...!!!"
Mainy kaha Aap mujhy is hal mein kiya hukam farmaty Aap s.w.a ny farmaya: "Nimaz ko us ky waqat par parh phir agar tu is nimaz ki jamat ko un ky sath paa ly to un ky saath dobara nimaz parh ly tahqeeq yeh nimaz tery liye nafal hogi...!!!"
Rasool Kareem s.a.w ny Eid-ul-Azha ky moqa par nimaz Eid ky baad qurbani karny ko apni sunnat qarar diya ha imam bukhari aur imam muslim ny Hazrat Baraa r.a sy riwayat naqal ki ha ky unho ny bayan kiya ha keh Rasool Allah s.a.w ny Irshad Farmaya:
"Be-shak us din ham pahla kaam yeh karty hain ky Nimaz-e-Eid ada karty hain phir aaty hian aur qurbani karty hain jis shakhs ny aisa kiya us ny hamari sunnat ko pa liya...!!!"
Sayyedna Ans Bin Malik sy marwi hai: "Woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya jo shakhs teen martaba jannat ka sawal kary to jannt kahti hai, ay Allah! isy jannat mien dakhil kar dy...!!!"
Abdullah Bin Masood r.a farmaty hain: Main ny Rasool Allah s.a.w sy sawal kiya keh Allah Tala ko konsa amal ziyada mahboob hai?
Aap s.a.w ny farmaya: "Waqat par nimaz parhna"
Mainy kaha phir konsa?
Aap s.a.w ny farmaya: "Maan Baap ky sath naik salook karna"
Mainy kaha phir konsa?
Ap s.a.w ny farmaya: "Allah ke rasty mein jihad karna...!!!"
Jabir r.a riwayat karty hain keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs azaan ka jawab dy aur phir azaan khatam hony par ye dua parhy usky liye qayamt ky din meri shafaat wajib ho jati hai...!!!"
"Is pori pukar (Azan) ky aur (Qiyamat Tak) qaim rahny wali nimaz ky Rab Muhammad s.a.w ko waseela aur bazurgi ata farma aun unhain us Maqam-e-Mahmood par pohancha jis ka tuny unsy wada kiya hai...!!!"
Sayyadna Abu Huraira r.a sy riwayat hai Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Ramzan ky baad sab sy fazeelat wala roza Allah ky maheeny muharram ka hai aur farz ky baad sab sy ziyada fazeelat wali nimaz raat ki nimaz hai...!!!"
Allah ka farman:
"Momin mardon sy kah dejiye ky apni nigahein neehci rakhein aur apni sharam gaho ki hifazat karein ye un keliye ziyada pakeza ha beshak Allah us sy pori tarha khabardar ha jo wo karty hain...!!!"
"Ay Iman walo Allah sy daro aur har shakhs ye dekhy ky us ny kal qayamt ky liye kiya aagy bheja ha aur Allah sy darty raho jo kuch bhi tum karty ho Allah us sy ba khabar ha...!!!"
"Abi bin kaab r.a sy riwayat hai keh Rasool Allah s.a.w witron sy salam phair kar teen baar ye parhty "Pak ha Badshah Nihayat pak...!!!"
Comments
Post a Comment