Wafa and Bewafa Poetry/Shayari Pictures in Urdu


Tum mein wafa nahi ye baat janty hain ham,
Magar tumhain koi bewafa kahy to bura lagta ha...!!!




Tum ny dekhi hi nahi hamari pholon jaisi wafa,
Ham jis par khilty hain usi par murjha jaty hain...!!!




Wafadar aur tum, khayal acha ha,
Bewafa aur ham ilzam bhi acha ha...!!!




Bas aik hi sabak seekha ha zindagi sy,
Jitni wafa karo gy utna pareshan raho gy...!!!




Mana ky ham ghalat they to tujh sy chahat kar bethy,
ar roye ga tu bhi kabhi aisi wafa ki talash mein...!!!




Na wafa ka zikar hoga na wafa ki baat hogi!!!
Ab muhabbat jis sy bhi hogi matlab ky sath  hogi...!!!




Tum to chaahat ka samandar howa karty they,
Kis sy seekh liya muhabbt mein milawat karna...!!!




Wafa ki laaj mein unsko mana lety to acha tha,
Anaa ki jang mein aksar judai jeet jati ha...!!!




Wafa mein ab ye hunar ikhtiar karna ha,
Woh sach kahy na kahy aitabar karna ha...!!!




Wah mousam teri wafa py aaj dil khush ho gaya,
Yad-e-yaar mujhy aai aur baras tu para...!!!



Comments