Best Images of Shikwa Sad Shayari in Urdu


Bethy thy apni masti mein ky achanak tarap uthey,
Aa kar tery khayal ny acha nahi kiya...!!!




Bhook phirti ha mery mulk mein nangy paoun,
Rizq zalim ki tajori mein chupa betha ha...!!!




Main to pahron tumhain sochti rahti hon,
Tumhain aik lamhy keliye bhi mera khayal nahi aata...!!!




Teri dunya ka dastor ajeeb ha khuda,
Muhabbat unko milti ha jinhain karni nahi aati...!!!




Woh muddat sy kisi zarori kam mein masroof ha warna,
Hamary sath sy barh kar zaroori kuch nahi usko...!!!




Woh naraz hota to usy mana leta,
Woh taluq hi na rakhy to usey manaon kesy...!!!




Woh tumhain chorr gaya to ham sy ye doorian kiun,
Meri khushiyan aksar mujh sy sawal karti hain...!!!




Samajh nahi aati ky wafa karein to kis sy karein,
Matti sy bany ye log kagaz ky tukro py bik jaty hain...!!!




Taa umer kon karta chahat mery hazoor,
Milty hain kab jahan mein zulekha mizaj log...!!!



Itny bhi nadan nahi ham,
Ham ko parhna aata ha
Kon sa lahja dil ki dunya
Kon sa dunya dari...!!!



Comments