Love Sad SMS Shayari in Urdu with Pictures


Yeh mareez-e-ishq ka haal hai ky ye zindagi bhi wabal hai,
Kabhi dard ha to dawa nahi jo dawa mili to shifa nahi...!!!




Yeh meri aqeedate-e-besabar ye meri ibadat-e-besamar,
Mujhy mery dawa-e-ishq ny na sanam diya na KHUDA diya...!!!




Yoon har nuqsan par hawi zabt raha ,
bikhar gai jab zaat to palkein bheeg gaein...!!!




Zara si ranjish par log chor dety hain daman ,
Umer beet jati ha dil ky rishty banany me...!!!




Zarorat torr deti ha garoor-e-be niazi ko,
Na hoti koi majbori to har banda khuda hota...!!!




Zindagi dard ky hathon me chali jaye gi,
Gar tera saath na paya to bikhar jaye gi...!!!




Meri barsti hoi aankhein meri rukti hoi saansein,
Mujhy aksar yeh kahti hain muhabbat ab nahi karna...!!!




Meri wafa faraib thi meri wafa py khak dal,
Tujh sa koi baa wafa tujh ko mily khuda kary...!!!




Mery hamsafar ka ye hukam tha ky main bat us sy kam karon,
Mery hont aisy sily ky phir usey meri chup ny rula diya...!!!




Yeh bewafaon ki dunya ha dil sanbhal kar chalna,
Yahan log barbad karny keliye bhi muhabbat ka sahara lety hain...!!!



Comments