Aap s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky roz bandy sy jis cheiz ka sab sy pahly hisab liya jaye ga wo farz nimaz ha pas agar us ny nimazien pori parhi hongi, to woh pori likhi jaien gi, lekin agar pori na parhi hongi, to Allah Tala apny farishton sy farmaye ga: Dekho! kiya (nama aamal mein) mery bandy ky koi nafal bhi hain? (agar hain) to us sy un ky farzo ki kami pori kar do, phir usi tarha us ki zakat ko dekha jae ga phir us ky bad usi tarha dosry farz aamal ka hisab hoga...!!! Abu Zar r.a riwayat karty hai keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Tera kiya hal hoga? Jis waqat tujh par aisy imam hakim hon gy jo nimaz mein dair karein gy ya us ky waqat sy qaza karein gy...!!!" Mainy kaha Aap mujhy is hal mein kiya hukam farmaty Aap s.w.a ny farmaya: "Nimaz ko us ky waqat par parh phir agar tu is nimaz ki jamat ko un ky sath paa ly to un ky saath dobara nimaz parh ly tahqeeq yeh nimaz tery liye nafal hogi...!!!"