Skip to main content

Posts

Hadees in Urdu Azeem Khushkhabrian aur Waady

Azeem Khushkhabrian aur Waady: "Aur jin logon ny iman ki rah ikhtiar ki aur usky  mutabik apny aamal darust kar liye unhain khushkhabri dy do ky un keliye sarsabz-o-shadab baagh hain  jin ky neechy nahrein bah rahi hongi jab in baghon ka koi phal unhian paish kiya jaye ga to wo foran  bol uthein gy ky aisy hi phal is sy pahly dunya mein ham ko diye jaty they naiz inky keliye pakiza aur  parsaa bewiyan hongi aur wo wahan hamesha hamesha rahein gy...!!!"

Hadees Shreef Jannat Ky Khany aur Mashrobaat in Urdu Image

Jannat ky Khany aur Mashrobat: Hazrat Abu Imamah sy moqoof riwayat hai woh bayan  karty hain keh: " Jannati jab jannat ky kisi mashroob ki khahish kary ga to is mashroob ka bhara howa jam  khud bakhud isky hath mein tham jaye ga phir peeny ky baad wo jaam apni jaga apr lot jaye ga...!!!" Inhi sy R iwayat hai ky: " Jab koi Jannati jannat ky kisi parindy ka ghost khany ki khahish kary ga to foran us  parindy ky bhuny howey tukry is ky saamny aajein gy...!!!"

Islamic Urdu Hadees Jannati Log Baghon Me Hongy

Jannati Log Baghon Me Hongy: " Jannati log wahan baghon aur naimaton me hongein aur ALLAH TALA ki ata karda cheizon sy lutf andoz ho rahy hongy aur unka RABB unhain dozakh ky azab sy bacha ly ga un sy kaha jaye ga khao aur pio mazy sy apny un aamal ky sily mein jo tum karty rahy ho. Woh aamny samny bichy howey takhton par takye lagaye bethy hongy aur ham khobsurat aankhon wali horein un sy biyah dein gy...!!!"

Hadees about Jannat ki Horon ki Gayiki ka Bayan in Urdu

Jannat ki Horon ki Gayiki ka Bayan: Hazrat Abu Huraira (R.A) sy moqof riwayat hai woh bayan karty hain key: "Jannat mein jannat jitni lambi nehar hogi un ky dono kinaro par khobsurat kunwari larkian aamny saamny qatar banaye khari hongi woh nihayat khush awaz mien gaaein gy jannat ky bashindy unhain sunein gy hatta ky woh samjhein gy ky un sy barh kar jannat mein lazzat ka koi aur saman nahi ha ham ny kaha ay abu huraira woh meed aur takdees aur Rab-e-azzwa jal ki Sana hogi...!!!"

Hadees in Urdu Momin Mardon aur Momin Orton Keliye Sab sy Bari Kamyabi

Sab Sy Bari Kamyabi: "Momin mardon aur momin orton keliye ALLAH ki taraf sy baghon ka wada ha jin ky neechy nahrein bah rahi hongi aur wo un mein hamesha rahein gy in sada bahar bagon mein unkeliye pakeza qayam gahein hongi aur sab sy barh kar naimat yeh keh ALLAH taala ki khushnodi unhain hasil hogi aur yahi sab sy bari kamyabi ha...!!!"

Islamic Urdu Hadees Ahl-e-jannat ki Bewiaan

Ehl-e-Jannat Ki Bewiaan. "Ham un bewiyon ko khas tor par naye siry sy paida karein gy aur ham unhain baakra bana dein gy wo khawind ki ham umer aur us sy muhabbat karny walian hongein...!!!" Imam bagwi ny apni tafseer mein is aayat ky ziman mein farmaya: "Is sy murad dunya ki wo bodhi ortein hain jin ko ALLAH naye siry sy paida karein farmaein gy jab wo unky paas aaien gy to wo unhain baakra paein gy...!!!"

Urdu Pictures of Shayari about Life/Zindage

Apni marzi sy do char qadam chalny dy, ZINDAGI ham tery kahny py chaly hain barson...!!! Baat sirf itni ha ZINDAGI ki rahon mein, Saath chalny waly ko hamsafar nahi kahty...!!!