Apni marzi sy do char qadam chalny dy,
ZINDAGI ham tery kahny py chaly hain barson...!!!
Baat sirf itni ha ZINDAGI ki rahon mein,
Ab meri koi ZINDAGI hi nahi,
Ab bhi tum meri ZINDAGI ho kiya...!!!
Buhat roya wo ham ko yaad kar ky,
Hamari ZINDAGI barbad kar ky...!!!
Chalo yeh ZINDAGI ab ham tumhary naam karty hain,
Suna ha bewafa ki bewafa sy khoob banti hai...!!!
Mot ky mukhalif to buaht hain is muhabbat bhary jahan mein magar,
ZINDAGI sy naraz bhi ik shakhs rahta ha yahan...!!!
Mot to naam sy badnam hoi ha warna,
Takleef to ZINDAGI bhi diya karti hai...!!!
Yeh uthi to subha dawaam hai, yeh jhuki to sham hi sham hai,
Teri chashm-e-mast mei saqiaa meri ZINDAGI ka nizam hai...!!!
Yeh warq warq teri dastaan,
Yeh sabaq sabaq tery tazkiry
Main karon to kesy karon alag,
Tujhy ZINDAGI ki kitab sy...!!!
ZINDAGI bhar udaas rahna hai
Sochta hun to muskurata hun...!!!
ZINDAGI guzar rahi ha imtihano ky dor sy,
Ek zakham bharta nahi dosra tayar milta hai...!!!
ZINDAGI ki thakan mein gum ho gaya,
Woh lafaz jisy sakoon kahty hain...!!!
ZINDAGI ko to bahar hal guzar hi jana tha,
Muft ahsaan zamany ky uthaye ham ny...!!!
ZINDAGI ky raaston mein
ZINDAGI ky raaston mein itni gard udhti hai
Faalein sy dekhein to kuch nazar nahi aata
Manzilon ky chahry bhi, Rah ki nishanian bhi
Sab hi doob jaty hain
Gard ky samander mein
Dard ky samander mein
Raasta nahi milta
Faasla nahi ghat'ta...!!!
ZINDAGI mein insan ko aik aadat zaroor seekh leni chahiey jo cheiz hath sy nikal jaye usey bhool jany ki aadat ye aadat buhat si takleefon sy bacha leti hai...!!!
ZINDAGI shayad phir sy raasty mein mila dy,
Magar aik baat yaad rakhna tum mujhy kho chuky ho...!!!
ZINDAGI sy bari saza ha nahi Zaid,
Aur jurm kiya ha pata hi nahi...!!!
Comments
Post a Comment