Jab bhi utha ky hath mujhy wo mangti thi woh, Kahti thein zor zor sy aamin choriyan...!!! Jahan sy tera ji chahy meri kutb-e-zindagi parh ly, Safha chahy koi bhi khuly naam tera hi likha hoga...!!!
Achy hoty hain bury log, Acha hony ka dikhawa to nahi karty...!!! Chalo bataon tumhain ik nishani udas logon, Ki kabhi gor karna yeh hansty buhat hain...!!!
Theek hi kahta tha mery muqadar ka sitara, Tu MUHABBAT kary ga to main gardish karonga...!!! Raat saari guzarti ha in hisabon mein, Usey MUHABBAT thi nahi thi hai nahi hai...!!!
Zuban to kah nahi sakti tumhain ahsaas to hoga, Meri aankhon ko parh lena mujhy tumsy MUHABBAT hai...!!! Ehsas agar ha to MUHABBAT karo mahsoos, Har baat ka izhar zarori nahi lab sy...!!! Bebas kar deta qanoon-e-MUHABBAT warna, Main tumhain itna chahon ky intiha kardon...!!!
Aik bar aur dekh kar aazad kardy mujhy MOHSIN, Keh main aaj bhi teri pahli nazar ki qaid mein hun...!!! Wafa ki basti ky log MOHSIN ujrry ujrry ye kah rahy hain, Keh jahan muhabbaton mein khot dekho wafa py tum bhi khary na rahna...!!!
Door rah kar bhi jo samaya ha meri rooh me, Paas walon par woh shakhs kitna asar rakhta hoga...!!! Faqat tum nahi aziz teri aadatein bhi aziz hain, Keh tum bhool bhi jaty ho to bura nahi lagta...!!!
Chala gaya chand dekho so gaye saary taray bhi, Ab to aajao ay neend adhory hain kuch KHUWAB hamary bhi...!!! Door ho kar bhi roz milta ha mujhy wo KHUWAB nagar me , Agar yeh neend bhi na hoti to mar gaye hoty ham...!!!