Love and Romantic Poetry/Shayari Pictures in Urdu for Facebook


Door rah kar bhi jo samaya ha meri rooh me,
Paas walon par woh shakhs kitna asar rakhta hoga...!!!




Faqat tum nahi aziz teri aadatein bhi aziz hain,
Keh tum bhool bhi jaty ho to bura nahi lagta...!!!




Woh aaeiny ko bhi hairat mein daal deta hai,
Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hai...!!!




Aaj tafseel nahi! bas itna suno,
Mousam haseen hai, lekin tum jaisa nahi...!!!




Kiya karo gy ham sy jawab-e-guftago lekar,
Ham ny to kah diaya....
Tery hain, Faqat tery hain aur bas tery hain...!!!




Kon jeety ga un sy baaton me,
Jinki aankein kalam karti hain...!!!




Mujh ko maloom nahi HUSN ki tareef magar,
Meri nazar mein haseen woh hai jo tujh jaisa hai...!!!




Tum ko ye kamal hasil hai,
Waqt bewaqat achy lagty ho...!!!




Un ki aankhon mein ham doob gaye,
Kesy jata dhiyan palkon par...!!!.




Unglion ko tarash don phir bhi,
Aadatan us ka naam likein gi...!!!




Woh ghazal walon ka asloob samajhty hon gy,
Chand kahty hain kisy khob samajhty hon gy...!!!




Yeh subh ka manzar bhi qayamat ka haseen hai,
Hai takya kahein, zulf kahein, khud wo kahein hai...!!!




Aaj tak dekha nahi mainy kahein aisa shabab,
Tery honton ky tabassum sy hain sharminda gulab...!!!




Uff us ky roothny ki adaein bhi ghazab ki thein,
Baat baat py ye kahna "Soch lo phir main baat nahi karon gi...!!!"



Comments