Top long Urdu Shayari Ghazals/Poems collection with lovely pictures in two languages "English Roman and Urdu Text". Woh kesa shaks hay ke har rooz saza deta hay Phir hansta hay woh itna ke sab bhula deta hay, Kabhi jo ro day to mujhy bhi bhool jata hay Aur phir bhool ke mujh ko bhi rula deta hay, Hamaray pas na aany ki kasam kha kar woh AAJA Likhata hai woh, khaghaz pay urra deta hay, Us say poocho ke bata kis say muhabbat hay tumhain Naam sargoshi me mera hi suna deta hay, Kabhi kehta hay chalo saath hamesha mere chal paroon saath to raasta hi phira deta hay, Khud hi kehta hai na dohraao purani yaadain Main na dohraaoon to phir khud hi sunaa deta hay...!!!