Wahi ahal e karwaan hain wahi behisi ka aalam
Na kisi ko mazil na gham e shikasta pani...!!!
Na zaat mein koi manzil na kainat mein hai
Safar karon to kahan mera koi apna nahi...!!!
Umeed to manzil py pohanchny ki bari thi
Taqdeer magar janay kahan soyi pari thi
Khush thy ky guzarein gy rafaqat mein safar ab
Tanhayi magar baahon ko phir kholy khari thi...!!!
Dil mein tamana lekar mar jaein to koi baat nahi
Piyar agar manzil na paaye to koi baat nahi
Tera saath na sahi bas teri yaad honi chahiye
Meir qabar par phool na laaye to koi baat nahi...!!!
Jahan yaad na aaye teri
Wo tanhayi kis kaam ki
Bigrry rishty na banay
To khudayi kis kaam ki...!!!
Kitni hi khahishein dil ki dil mein hi dam torr deti hain
Aksar hamraahi manzil ky qareeb aaky hath chorr deti hain
Bhaagry rahty hain apni hi parchayi sy peecha churrwany ko
Kaisy manzil paye hawaein aksar raasty morr deti hain...!!!
Log manzil ko mushkil samajhy hain
Ham mushkil ko manzil samajhty hain
Bara farq hai logon mein aur ham mein
Log zindagi ko dost aur ham,
Dost ko zindagi samajhty hain...!!!
Nigahon mein manzil thi
Giry aur gir kar sanbhlty rahy
Hawao ny buhat koshish ki
Magar charag aandhiyon mein bhi jalty rahy...!!!
Comments
Post a Comment