Mohsin-e-Pakistan Dr. Muhammad Allama Iqbal was born on 9th November 1877 in Sialkot. I will share just few shairo of him and dedicate this thread to all of you on this Iqbal day.
Apni millat par qiyaas aqwam-e-magrib sy na kar
Khas teri tarqeeb mein qom-e-rasool hashmi
Unki jamiyat ka hai mulk-o-nasab par ikhtasar
Quwat-e-mazhab sy mustaham hai jamiyat teri...!!!
Azaim ko seeno mein baidar kar dy
Farhang sy buhat aagy hai manzil-e-momin
Qadam utha ye maqam intaha-e-raah nahi...!!!
Jawano ko meri aah-e-sahar dy
Phir un shaheen bachon ko baal-o-par dy
Khudaya aarzoo meri yahi hai
Mera noor-e-baseerat aam kar dy...!!!
Shaheen kabhi parwaz sy thak kar nahi girta
Pur dam hai agar tu, to nahi khatra-e-aftada...!!!
Tha wo maanind khursheed rasty dikha gaya
Khudi ky falsafy sy pardy utha gaya...!!!
Tu bhi isi qaflay-e-shoq mein Iqbal
Jis qaflay-e-shoq ka salar hai roomi...!!!
Uqabi rooh jab baidar hoti hai jawano mein
Nazar aati hai un ko apni manzil aasmano mein...!!!
Nice I really Like Iqbal Day Poetry
ReplyDelete