Farz Mera Tha Aur Main Nibhaati Rahi




Farz Mera Tha Aur Main Nibhaati Rahi
Zakham Khaati Gayai Muskurati Rahi

Beech Dariya Main Us Ne Nazar Pher Li
Main Kinaaron Se Nazrein Milati Rahi

Raat Amavas ke Ghangor Sannate Main
Mere Kamre Main Chandni Aati Jati Rahi

Dost Sab Aandhiyon Ke Mureed Ho Gaye
Main Chiraagon Ko Apne Jalati Rahi

Mere Bistar Pe Phoolon Ki Chaadar Rahi
Raat Bhar Neend Ko Aazmaati Rahi

Aye dost Itne Ghum Haadson Ne Diye
Umr Bhar Unko Apna Banati Rahi...


Comments