Har Shay Ka Soda Hota Hai
Har Cheez Bikaauo Hoti Hai,
Har Fard Yahan Par Taajir Hai
Har Waqat Tijaarat Hoti Hai,
Tum ap Hi Apne Baam Kaho
Chup Ke Nhi Shar-e-Aam Kaho,
Kyaa Lo Ge Apni Yari Kaa
Kyaa Lo Ge Tum Dildaari Kaa,
Gham Khwar Bano Ge Kitne Me
Tum Piyar Kro Ge Kitne Me,
Sab Jazbay Mery Naam Kro
Ham Naam Tum Apna Daam Kaho,
Par Daam Chukane Ki Khatir
Ham Apna Daftar Kholain To,
Ham Apni Jaib Tatolain To
Bus Piyar Mily Ga Thora Sa,
Azaar Mily Ga Thora Sa
Yeh Sikkay Yaha Kab Chalte Hain,
Kyaa Udhar Mily Ga Thora Sa
Yeh Duniaa Beitbari Ki,
Yeh Arz Hai Har Beyopari Ki
Chal Chor Tamana Jazbon Ki
Bas Souday Hi Dekh Aaen Ham,
Ham Khali Hath Hi Aaye Thay
Chal Khali Hath Hi Jayen Hum...!!!
Bonas Ghazal:
Jo Dard Ke Sehraa Me Akaila Bhi Bohat Hain.
Jo Dard ke Sehraa me Akaila bhi Bohat hain
Uss ke liye Deewar ka Saaya bhi Bohat hain,
Daikha Nahi Tanhaai me tum ney Kabhi usko
Bichrey Huey Logon ko woh roya bhi bohat hain,
Kuch tujh ko Mohabbat Py Yakeen tha na Wafa par
Kuch dukh meri Taqdeer Me likhy bhi Bohat hain,
Beenaai Andhairey sey Bhala Kaisey Bachata
Aik Shakhs Terey Hijr Me jaga bhi Bohat hain,
Kirdaar sey Mehroom tha Yeh Sheher to Iss ney
Hum ko Dar-o-deewar Py Likha bhi Bohat hain...!!!
Comments
Post a Comment