Aankhen Poetry 2 Line in Urdu Fonts


Qabil e daad yeh aankhein hain k in aankhon sy,
Khud hi paamal huy aor khud hi tamaasha dekha...!!!

 

Ankhon k aansoo thy magr hm khamosh rahy,
Is tawaqaa par shayad tu palat kr dekhy...!!!


 Nigahein bolti hain, Zaid,
Muhabbat paglon ki guftfu hai...!!!



Qiyamat khaiz hain tumhari aankhein,
tum aakhir khawab kis ky dekhty ho...!!!



Sirf hathon ko na dekho, kabhi Aankhon ko bhi parho,
Kuch sawaali bohat khud'daar hua krty hain...!!!



Tum Samandar ki baat krty ho sahib,
Log aankhon main doob jaty hain...!!! 



Us ki Aankhein sawaal karti hain,
meri Himmat jawab dy jati hai...!!!


\
Woh Aankhein kr rahi hain jo baras  jany ki tiyari,
in ko kon batlaaye, keh abhi Sawan nahi aaya...!!!


Comments

Post a Comment