Yaad Shayari SMS in Urdu Picture


Buhat dair sy koi hichki nahi aai,
Bholny waly ki KHUDA khair kary...!!!




Buhat takleef deti hain teri YAADEIN wo sab baatein,
Faqat itna hi kahna tha ky tum lot aao to acha hai...!!!




Kis tarha khatam kar sakty hain tum ko YAAD karna,
Keh tum ko sirf mahsoos karny sy ham dunya bhool jaty hain...!!!




Raat youn dil mein teri khoi hoi YAAD aai,
Jaisy weerany mein chupky sy bahar aa jaye,
Jaisy sahraoun mein holy sy chaly baad-e-naseem
Jaisy beemar ko be waja qarar aajaye...!!!




Aa Rahi Hai Teri Yaad.
Raat ka pichla pahar hai
Maatmi malboos oadhy
Dard ki in waadiyon sy
Wahshaton ky rasty sy
Ladkhati
Dagmagati
Baal kholy
Bain karti
Chandni ko sath lekar
Meri janib chal parri hai
Aa rahi teri YAAD...!!!




Naam na lena! faqat itna kahna un sy ay hawa,
Tumhain woh YAAD karty hain jinhain tum bhool bethy ho...!!!




Surkh Ienton py nachti baarish,
Aur YAADEIN hain robaro dekho...!!!




Tapak padty hain aanso jab tumhari YAAD aati hai,
Yeh woh barsat ha ky jis ka koi mousam nahi hota...!!!




Yeh uski YAAD ha kiun sakht dhoop ki maanind,
Woh bewafa to barasti ghataoun jaisa tha...!!!




Aaj toot kar uski YAAD aai to ahsaas howa Mohsin,
Utar jaty hain jo dil mein woh bhulaye nahi jaty...!!!




Abhi masroof hon kafi
Kabhi fursat mein sochon ga,
Ky tujh ko YAAD karny mein me
Kiya kiya bhool jata hon...!!!




Yaad Ki Baarish.
Is mousam ki baarish
Kuch bhi nahi
Lekin
Tery YAAD ki barish
Har pal
Mujhy bighoti rahti hai
Meri aankhon sy musalsal
Barish hoti rahti hai...!!!




Soch tera muqam kiya hoga...!!!



Comments

Post a Comment