Top Ten Urdu Image Shikwa Shayari Collection for Facebook


Hota nahi ha tujh py kisi baat ka asar,
Lagta tery roop mein pather mila mujhy...!!!




Kaanty to naseeb mein aany hi they,
Phool jo ham ny gulab chuna tha...!!!




Machalty rahty hain zehan mein waswason ki tarha,
Haseen log bhi jaan ka wabal hoty hain...!!!




Afsos to ha tery badal jany ka magar,
Teri kuch baaton ny mujhy jeena sikha diya...!!!




Apni hansi sy laga ly andaz mery dard ka Abbas,
Zarori to nahi tery har sitam ka hawala meri zuban sy ho...!!!




Ghor sy dekh meri masomiat ko ay ibn-e-aadam,
Main hawwa ki nishani hon tery hath ka khilona nahi...!!!




Is sooraj ka mizaj bhi us shakhs jaisy hain Abbas,
Bin jis ky ham ji nahi sakty aur paas jaty hain to jala deta ha...!!!




Kesy guzar rahi ha sabhi pochty to hain,
Kesy guzarta hun koi pochta nahi...!!!




Kitny hi gily they zuban py hamari,
Yeh alag baat ha ky sun ny wala na tha...!!!




Kuch aur bhi han kaam hamein gham-e-janaan,
Kab tak koi uljhi hoi zulfo ko sanwary...!!!



Comments