Skip to main content

Posts

Kask Phirse Meri Aakhn Khule Hindi Poem by Roshan Singh

Kask phirse meri aakhn khule, Ek chote se bachche mai,  Jo dekh raha tha sapne itne din, Sote hue raton mai, Kash mera ye bis saal us bachche ka sapna hota, kash phirse mujhe jine ka ek aur mouka milta, Kash mera bachpan phir se mujhe milta, Sudhar lunga mujh se hui har galti ko, Mana leta mujhse rutha har hasti ko, Phirse mujhe jina hai, Phirse bara hona hai, Isbar man laga ke parhunga, Khud ko kavi cheat nai karunga, Khud se kavi galti nai karunga, Har galti ko sudharta chala jaunga, Kash phirse meri aakkhn khule, Ek chote se bachche mai, Jo dekh raha tha sapne itne din, Sote hue raton mai, kash phir se ji sakun mai wo sunahra din, Ma k god mai khelta rahun har gum k bin, Wo sunehra din chahta hu jab, Papa k kandhe pe ghuma karta tha mai, Wo sunehra din chahta hu jab, Ma papa ka dulara tha mai...!!!

Sad Urdu Shayari Image for Facebook Post from Syeda Jiya

Meri zindagi maang kar wada bhi liya us ny Umar bhar hansti rho apny nseebon ke kheal par...!!!

2 Line Shayari,SMS In Urdu And Hindi With Images & Lovely Pics

Is sy ziyada or kiya dard dein ham apny aap ko Ye kafi hai kay ham tery bin rahny lagy hain...!!! Soch rakhi han buhat si batein tumahin sunany ko Tum ho y aaty hi nahi hamein manaany kay liye...!!! Beth jata hon khaak par aksar Apni aoqat achi lagti hai mujhy...!!! Aap ko jo dekha ham ny maano zindagi mil gayi ho Aap ka piyar payaa hamny maano janat mil gayi ho...!!! Hunar hai hum mein darya ka nikal jaein har janib Kay lahroon ki tarha Sahil sy takraya nahi karty...!!! Dastaan hazar kah gaye wo hazaron nayi Kitabein fazol aaj tak ham parhty rahy...!!! Ye bhi ik ishara hai afat-e-nagahani ka Kisi jaga sy parindon ka kooch kar jana...!!! Talkh itni thi ky peeny sy zuban jalti thi Zindagi aankh ky pani mein mila li main ny...!!!

Dard Ki Shayari Is Dil Me Bas Kar with Urdu Image

اِس دِل مِیں بس کر پھر بِیچ راہ مِیں چُھوڑ کر !!!...یہ  دِ یوانہ تُجھے سلام کرتا ہے تُمھارا دَرد لے کر Is  Dil Me Bas Kar  Beech Rah Me Choord Kar, Yeh Deewana Tujhe Salam Karta Hai Tumhara Dard Lekar...!!!

Soch, Sochna SMS And Image Shayari For PC Background

Main apni aankhon mein jab usy sochta hon To Khushboo sa mahakta gulaab sochata hon Ye meri taqat parwaz ka hunar hai ky main Huroof likhta hon lekin kitaab sochta hon...!!! Ajeeb shikwa rahta ha tumhain mujh sy mujhy tum sy Tumhain ulfat nahi mujh sy mujhy nafrat nahi tumsy...!!! Wo to milta hai mahdod sy lamhon mein mujhy ko Faraz Phir bhi dil hy kay kitni fursat say sochta hai usey...!!! Din raat meri soch pay musallat hai tera aks Tera halka sa taswur mera chahra khila deta ha...!!! Abhi mahfil mein nazar aty hain nadim chahry Lo chiragon say zaraa aur ghataa di jaaye...!!! Tu bichar raha hai to soch ly Tery haath hai meri zindagi Tujhy rokna meri mot hai Meri by basi ka khayal kar...!!! Tery siwa sochna kuch aur mumkin nahi Teri jaga dekhna koi aur mumkin nahi...!!!

Best Collection Of Tanhai Shayari, SMS, Text With Urdu Font

Tery hoty howey bhi tanhayi mili hai Wafa kar ky bhi dekho buraayi mili hai Jitni dua ki main ny tumhain paany ki Us sy ziyada mujhy teri judayi mili hai...!!! Tanhayi mein ham teri taktay hain raahein Tumhain dekhny ko tarasti hain nigahein Hamein by khudi ka ye aalam hai kaisa Tumhain yad kar ky nikalti hain aahein...!!! Ahtiyatan dekhta chal apny saaye ki taraf Is tarha shayad tujhy ahsas e tanhayi na ho...!!! Rony sy kisi ko kuch haasil nahi hota Jo khud bichar jaye wo sathi nahi hota Dosron ki to ham khud mahfil sajaty hain Par hamari tanhai mein koi shamil nahi hota...!!! Intzar ki aarzo ab kahein kho gayi hai Khamoshion ki aadat ab hamein ho gayi hai Na koi shikwa raha na shikayat kisi sy Ab muhabatein tanhaion ki parchayi ho gayi hai...!!! Mainy dekhy howey hain wo lamhy Khamoshi jab kalam karti hai...!!! Adaa labon sy dil ki baat hony do Qaboll aaj dil ki...

Zindagi Best Collection Shayari and SMS 2 Line, 4 Line With Images

Moat milti hai na zindagi milti hai Zindagi ki raahon mein bebasi milti hai Rula dety hain mujhy kiun mery apny Jab bhi mujhy koi khushi milti hai...!!! Asal takleef to zindagi hi deti hai Moat ko to log yonhi badnam karty hain...!!! Zindagi kaanton ka aik safar hai Himaat hosla is ki pahchan hai Raasty par to sabhi chalty hain Jo raasty banaye wahi to insaan hai...!!! Bahtar dino ki aas lagaty howey habib Ham bahtareen din bhi ganwaty chaly gaye...!!! Inti bad saloki na kar mujh sy ay zindagi Ham kon sa yahan baar baar aany waly hain...!!! Buhat kuch sikha jati hai zindagi Hansa ky rula jati hai zindagi Ji sako jitna utna je lo dosto Kiun ky buhat kuch baqi rah jata hai Aur khatam ho jati hai zindagi...!!! Zinda rahna hai to haalat sy darna kesa Jang lizim ho to lashkar nahi dekhy jaty...!!!