Yaadon mein ik teri yaad thi Kiya yaad tha ye kuch yad nahi Teri yad mein sab kuch bhol gaye Kiya bhol gaye kuch yaad nahi Yad ho tum, bas yaad ho tum Kiun yad ho tum kuch yaad nahi...!!! Wabasta meri yadon sy kuch talkhiyan bhi thein Acha kiya tuny jo mjuh ko faramosh kar diya...!!! Ik tum ho jisy piyar bhi yaad nahi Ik main hon jisy or kuch yaad nahi Zindagi mot ky do hi to tarany hain Ik tumhain yad nahi ik mujhy yad nahi...!!! Sirf yaad ban kar na rah jaye piyar mera Kabhi kabhi kuch waqt ky liye aaya karo Meri dolat hy jo sanbhal ky dil mein rakhta hon Mery nahi ho sakty to kuch yadein hi dy jaya karo...!!! Dil dharakny ka sabab yaad aaya Wo teri yaad thi ab yaad aaya...!!! Jab raat ki tanhayi raat ban ky dharakti hai Yaadon ky jharakon mein chilman si sirakti hain Inn laboon mein chingari jaisy koi rakh jaye Yon yaad teri shab bhar seeny mein sulagti hai...!!! J...