Skip to main content

Posts

Ramzan Chand Mubarak SMS in Urdu with Wishes Wallpapers

Chand ki Pehli Dastak Pay Chand Mubarak Kehtay Hain, Sub Say Pehlay Hum Aap Ko " RAMZAN MUBAARAK " Kehtay Hain...!!! Ramadan Kareem Mubarik. May Allah Enables us to do More and More Good Deeds and to Make the Most of this Month... May Allah Forgive are Sins (Aameen) Remember Me In your Prayers...!!!

Islamic Wallpapers for Facebook Hadees or Quran

Hazrat Abdullah Bin Umer r.a sy marvi ha keh  Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah Taala raham karny walon par raham karta hai tum zameen walon par raham karo aasman wala tum par raham kary ga raham rahman sy mashtak ha jo shakhs rishta jory ga Allah taala usey ( apni rahmat ky sath ) jory ga aur jo rishta tory ga Allah tala usey (apni rahmat sy) torr dy ga...!!!" Mahboob sy Mahroomi par Sabar Karny waly Insan ki Fazelat: Hadees-e-qudsi  hai Allah tala farmaty hain: "Mera woh momin banda ky jab main ahal-e-dunya mein sy uska koi  mahboob tareen saathi apny pas bula lon, phir who usy Allah ka hukam samajh kar hansi khushi  qabool kar ly to mery pas uska badla jannat ky siwa kuch nahi hai...!!!

Hadees ke Hawala se Waldain ki Nafarmani or Uski Saza in Urdu Tarjuma

Waldain ka na farman Jahanumi hai: Umer Bin Marah r.a bayan karty hain keh aik aadmi Nabi Kareem s.a.w ki taraf aaya us sy kaha ay Allah ky Rasool  s.a.w!  main gawahi deta hun ky Allah ky siwa koi mabood barhaq nahi aur aap Allah ky Rasool hain aur main panch nimazein parhta hun apny maal ki zakat deta hun aur ramzan ky rozy rakhta hun Aap s.a.w ny farmaya: "Jo is par (yani mazkora aamal par) mar jaye woh qayamt ky din anbia siddeqein (intahai sachy) aur shohada ky sath is tarha hoga aur Aap s.a.w ny do unglion ko khara kiya jab ky us ny waldain ki Nafarmani na ki hogi...!!!" Waldain ka Nafarman Jannat mein Dakhil nahi Hongy: Abdullah r.a farmaty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky din teen aadimion ki taraf Allah Tala nahi dekhy ga:" 1: Waldain ka Nafarman. 2: Mardon ki Mushabihat karny wali Orat. 3: Deos.

Khany sy Faragat ky Baad ki Dua in Urdu Tarjuma Image

Khany sy faragat ky baad ki dua : "Har kism ki tareef Allah hi keliye ha jis ny yeh khana mujhy khilaya aur mujhy yeh (khana) ata kiya bagair meri kisi taqat ky aur bagair meri kisi quwat ky...!!!" Wazahat: Allah ka nam lekar khana shuro karna aur farig ho kar Allah ka shukar ada karna naimat mein barkat ka baais hai...!!!

Duniya or Akhirat ki Zindagi Hadees-e-Mubarka in Urdu Tarjuma

Dunya ki Zindagi: "Allah jis keliye chahata ha rizq kushada kar deta ha aur (jis keliye chahata ha) tang karta aur wo dunya ki zindagi par khush ho gaye hain halan ky dunya ki zindagi aakhrat ky mukabla mein thory sy saaman ky ilawa kuch nahi...!!!" Hadees mein aata ha ky dunya ki hasiat aakhrat ky muqably mein aisy ha jaisy koi aadmi apni ungli samander mein dal kar nikaly aur dekhy samandar ky pani ky muqably mein uski ungli mein kitna paani aaya hai...!!!

Sunnat about Eid in Urdu Translation with Images

Eid-ul-fitar mein kuch kha kar Nimaz ko nikalty: Nabi-e-Rahmat s.a.w   Eid-ul-fitar mein kuch kha kar nimaz ko nikalty aur Eid-ul-azha mein nimaz parh kar kuch khaty...!!! Taaq Khajorein Kha Kar Eid Gah Jana: Rasool Allah s.a.w  Eid-ul-fitar ky roz taaq khajorein kha kar Eid gah jaya karty they...!!!

Islamic Inspirational Hadees and Ayaat about Namaz in Urdu Translation

Masajid ki taraf jana : Hazrat Abu Huraira sy Riwayat ha keh Allah ky Rasool s.a.w ny farmaya: "Jis ny apny  ghar mein paaki hasil ki phir Allah ky gharon mein sy kisi ghar ki taraf Allah taal ky faraiz mein sy  kisi fareza ki adaigi ki khatir chala to us ka aik naqsh-e -kadam aik gunah ko mitata ha aur dosra aik  darja buland karta hai...!!!" Masajid ki taraf jana: Aur Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat ha woh bayan karty hain ky hamary makanat masjid sy door aik gosha mein they chunachy ham ny apny makanat farokhat kar ky masjid sy qareeb aabad hony ka irada kiya to Allah ky Rasool s.a.w ny ham ko us sy mana farmaya aur kaha: "keh tumhary har kadam ky badla darja hai...!!!"