Ehal-e-jannat ki Bewiyan: Aur Rasool Allah s.a.w ny jannti orton ky husn-o-jamal ka tazkira karty howey farmaya: "Har jannti ko do moti aankhon wali horein bator-e-bewiyan ata ki jaein gi har bewi kapron ky sattar jory zaib tan kiye howey hogi uski pindli ky andar ka goda usky kapro aur ghost ky wary is tarha saaf nazar aa raha hogs jis tarha saaf shafaf sheshy ky gilas mein sharab nazar aa rahi hoti hai...!!!" Jannat ky Libas ka Bayan: Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs jannat mein dakhil ho gaya wo hamesha khush hal zindagi mein hoga kabhi mohtaj nahi hoga na uska libas boseeda hoga aur na uski jawani dhaly gi...!!!" Rasool ALLAH ny farmya: "Sab sy pahla ghar wo jo jannat mein hoga unky chahry chodhwein raat ky chand ki tarha chamak rahy honeing naiz farmay har jannti keliye do horein moti aankhon wali uski bewiyan hongi har bewi sattar joro sy aarasta hogi uski pindli ka goda usky jodo aur ghost ky wary nazar aaye ga aur j...