Skip to main content

Posts

Rizq Mein Izafa Ki Hadees-e-Mubarka in Urdu

Rizq Mein Izafa: Imam ahmad imam abu dawood imam nasai imam ibn-e-maja imam hakim hazrat abdullah bin abbas  R.A  sy riwayat hai unhon ny farmaya hai: "Janab Rasool ALLAH S.A.W ny irshad ny farmaya "Jis ny kasrat sy ALLAH Taala sy apny gunaho ki muafi talab ki ALLAH Taala us ko har gham sy nijat deingy har mushkil sy nikal deingy aur usko wahan sy rizq muhayya karein gy jahan sy uska waham-o-guman bhi na hoga...!!!"

Hadees-e-Mubarka Aakhrat Ka Ghar Jannat in Urdu Image

Aakhrat Ka Ghar: "Wahan hameshgi ky baghaat hongy jin mein woh khud bhi dakhil hongy aur unky  aaba-o-ajdad bewiyon aur olad mein jo naik kirdar hon gy woh bhi jaga paien gy Farishty har darwazy sy unky  istiqbal ky liye aaien gy aur un sy kahein gy tum par salamti ho tum ny dunya mein jistarha sabr sy kaam liya  uski badolat aaj tum is ky mustahik howy ho pas kiya hi khoob ha yeh akhrat ka ghar...!!!"

Afazal Tareen Duaa Ba-Hawala Hadees in Urdu

Afazal Tareen Duaa: Rasool Allah S.A.W ny farmaya: "ALLAH taala sy aafiat aur muafi ka sawal karo mot ky baad aafiat sy barh kar kisi keliye koi bhalai nahi ha aur farmaya banda ki apny Parwardigar sy bahtareen dua ye ha ay ALLAH main tujh sy dunya aur aakhrat mein muafi ka khaastgar hon...!!!

Hadees in Urdu Jannt Me Aik Bazar

Jannt Ka Bazar: " Jannt Me Aik Bazar hoga jannti har jummy ko wahan jaein gy phir baad-e-saba chaly gi jis sy un ky chahry aur kapry khak aalod ho jein gy lekin is sy un ka husan aur khobsurti dobala ho jaye gi is haal mein jab wo apni bewiyon ky paas wapis lotein gy to inki bewiyan un sy kahien gi ALLAH ki kasam hamary baad tum aur ziyada haseen aur khobsurat ho gaye ho woh jawab deingy ALLAH ki kasam tum bhi hamary baad aur ziyada haseen ho gai ho...!!!" Annas Bin Malik bayan karty hian keh: "Ahl-e-jannat aik dosry sy kahien gy chalo bazar-e-jannt ki taraf chalty hain phir woh kastori ky aik pahad ki taraf jaien gy wahan sy palat kar jab woh apni bewiyon ky paas pohanchien gy to un sy kahein gy tum sy aisi khusbo aa rahi ha jo us sy pahly kabhi nahi thi to woh jawab deingy tum sy bhi aisi khushbo aa rahi ha jo yahan sy nikalty howy nahi thi...!!!"

Islamic Hadees in about Jannah Ahl-e-Jannat ki Bewiyan

Rasool Allah s.a.w ny Ahl-e-Jannt ki orton ki sifaat bayan  karty howey farmaya:  "Agar koi jannti orat jannt sy zameen ki taraf jalwa gar ho to zameen-o-aasman ka  khala khushbo sy bhar jaye ga aur roshni sy munawar ho jaye ga aur usky sar ka dopata dunya-o- mafiha   sy ziyada bahtar ha...!!!"

Hadees-e-Mubarka Jannat Ki Nehrein in Urdu Tarjma

Aap s.a.w ka farman hai: " Jannat ki nahrein kastori ky teelon aur paharron ky nechey sy niklein gi...!!!" Neez Rasool Allah s.a.w ny farmaya: " Jannat mein aik samundar pani ka ha aik doodh ka aik shahad ka aur aik sharab phir is sy mukhtalif nahrein jari hongi...!!!"

Islamic Urdu Hadees Woh Dua Jo Kabhi Rad Nahi Hoti

Woh Dua Jo Kabhi Rad Nahi Hoti: Rasool ALLAH S.A.W ny farmaya hai: Machli waly (Hazrat Younas a.s) ny machli ky pait mein yeh dua ki thi : "Tery siwa koi ibadat ky laaiq nahi ha yaqeenan main hi zalim hon...!!!" Koi shakhs jab bhi kisi chiez ky bary mein dua karta ha to ALLAH uski dua ko zaroor qabool farmty hain...!!!